Doodh Pine Ke Fayde

Share:



    Doodh Pine Ke Fayde
    Doodh Pine Ke Fayde

    Kya aap jante hain doodh na sirf calcium ka bhandar hai, balki ismain lactic acid bhi hota hai. Jo skin ko mulayam banata hai. Ise pine se sharir main serotonin harmon ka srav hota hai, jisse dimag shant rehta hai. Toh Chaliye jante he Doodh Pine Ke Fayde kya he and Dudh Ke Labh ki Jankari Hindi Me.


    Doodh Pine Ke Fayde 


    Doodh pine ke bahut sare fayde hain. Doodh main bahut jada takat hota hain aur yahi reason hain ki aaj kal har kisike ghar main doodh bahut asani se mil jata hain aur har koi doodh sewan karta hain. Agar roj original doodh ka sewan kiya jaye toh kuchh hi dino main humara body kafi takatwar aur swasth ho jata hain sath sath hume komjori aur durvalta ki problem kabhi nahi hoti hain. Chahe baccha ho ya bada insan lekin sabke liye doodh pina utna hi zaruri hota hain. Aaj hum apne iss lekh ke jadiye aap logo ko yeh batayenge ki doodh pine kitne sare fayde hain aur woh sare fayde kya kya hain.

    Aap log bhi agar doodh pine ke faydo ke bare main janna chahte hain toh aap log humare iss lekh ko aur iss lekh main diye gaye kuchh tricks ko dhyan se padhiye. Yakin maniye inn tricks ko dhyan se padhne ke baad aap logo ko yeh acchi tarah se samajh main aa jayega ki doodh pine ke kya kya fayde hain. Ummid karte hain inn tricks ko padhne ke baad aap logo ke ghar main aur aap logo ki life main doodh ka upayog badh jayega aur doodh ke niyamit upayog se aap logo ki life se sari bimaria aur pareshania dur ho jayegi aur aap logo ko ek takatwar aur swasth sharir ki prapti hogi.

    Doodh pine ke fayde


    Haddio ko mazbut banane ke liye


    Haddio ko mazbut banane ke liye doodh kafi asardar aur faydemand hota hain. Agar aap roj kam se kam ek glass doodh ka sewan karte hain toh kuchh hi dino main aapki haddia kafi mazbut ho jayegi.


    Body main calcium ki matra ko badhaye


    Ab yeh baat toh takriban har koi janta hain ki doodh main calcium ki matra jada hota hain. Agar aapke body main calcium ki kami ho gayi hain toh aap rojana doodh ka sewan kariye. Agar aap kuchh din doodh ka sewan karenge toh aapki body main jo calcium ki kami hain woh dur ho jayegi aur sharir ko bhi kafi takat milegi.


    Blood ko saaf karne ke liye


    Doodh ke sath agar gur milakar uss ka sewan kiya jaye toh iss se humara khoon saaf hota hain aur twacha ke upar nikhar aata hain. Doodh aur gur ko agar ek sath mix kiya jaye toh uss misran main sharir ki ashuddhiyo ko nikalne wali kshamta aa jati hain. Aur iss doodh ke sewan se humare sharir ki sari ashuddhiya bahar nikal aati hain aur hume ek saaf aur damakte twacha ki prapti hoti hain.


    Kis age main kitna doodh jaruri hai ?


    Aam taur par doctor salah dete hain ki agar maa se bache ki jarurat poori ho jati hai. Toh saal bhar tak bacho ko maa ka hi doodh pilana chaiye. Saalbhar baad hi bache ko upar ka doodh dena chaiye kyuki tab tak bache ki jarurat badh jati hai. Is dauran bacho ko gaaye ka doodh pilane ki salah di jati hai. 12 month tak bache ko maa ka hi doodh de.


    1 – 2 years


    Saalbhar se bade bache ko upar ka doodh dena chaiye. Dimag ke vikas ke liye is age ke bacho ko fat se bharpoor diet ki jarurat hoti hai. American academy of pediatrics is age main har roj tin se char cup doodh ki salah deti hai. Sath hi aise bacho ko fool cream doodh dena chaiye.


    2 – 8 years


    2 years ka bacha doodh ke sath khana bhi khane lagta hai. Aise main america department of agriculture ke mutabeek 2-3 saal ke bacho ko char cup aur 4-8 saal ke bacho ko kam se kam panch cup doodh rojana de.


    9 years se bade bache


    9 saal se adheek age ke bache ko 3 cup doodh daily dena chaiye. Lekin aise bache jinko high calory ki jarurat hoti hai unhe doodh ki matra badha deni chaiye. Beshak gents and ladies rojana ek glass doodh piye.

    Dinner ke 3 hours baad piye doodh


    Ayurved ke anusaar dinner ke 3 ghante baad hi doodh le. Taaki amashye poori tarah se khali ho. Agar apko doodh nahi pachta hai toh isko pine ke baad ek elaychi kha le. Doodh main chini nahi dale because mitha doodh cuff banata hai. Agar mithe ki jarurat hi toh sehad, manukha ya mishri dale.


    Overweight bacho ko doodh nahi dena chaiye?


    Atirikta calorie kam karne ke naam par bacho ki doodh ki matra kam na kare balki unhe kam fat wala doodh de. Dhyan rahe ki doodh se wajan nahi badhta balki bones majboot hoti hain aur energy milti hai. Isse blood pressure, heart rogo aur tanav main bhi rahat milti hai.


    Doodh se kitni energy


    Full cream doodh : 150 calorie

    Tund doodh : 120 calorie

    Double tund doodh : 100 calorie

    Sceamd milk : 80 calorie


     Bar – bar na ubale


    Dietician dr. Vinita bansal ke anusaar doodh ko baar-baar ubale nahi. Aisa karne se usmain maujod vitamine aur poshak tatvo main kami aa jati hai. Koshish kare ki doodh jarurat ke hisaab se hi kharidkar laye aur freeze main dhakkar rakhe. Jitna use main lana ho kewal utna hi doodh garm kare.

    Upar diye gaye lekh ko padhkar aap logo ko yeh acchi tarah se samajh main aa gaya hoga ki doodh pine ke kaun kaun se fayde hain. Dosto ! Doodh ek bahut hi important aur acchi cheez hain jiske bahut sare fayde hain. Bahut log ayese hote hain jin logo ko doodh pasand nahi hota aur woh log doodh ka sewan nahi karte hain lekin unn logo se hum ek baat kahna chahte hain ki woh log doodh ka sewan zarur kare. Agar unn logo ko doodh pasand nahi hain toh woh log apne doodh main chocolate, horlicks ya koi aur manpasand cheez ko mix kar le aur tab doodh ka sewan kare.

    Humari aap logo se bas yahi salah hain ki aap log humare iss lekh ko aur iss lekh main diye gaye kuchh tricks ko dhyan se padhiye aur aur niyamit roop se doodh ka sewan kariye taki aap logo ki health ke sath kabhi bhi kuchh bhi galat na ho aur aap log ek fit aur tandarusta body ke sath apni life ko puri khushi aur masti ke sath apni life ko puri tarah se enjoy kar sake.
    how to