Computer Par Guest Account Kaise Create Kare - Step by Step

Share:



    Computer Par Guest Account Kaise Create Kare
    Computer Par Guest Account Kaise Create Kare

    Computer ko use karna aaj ek normal shi baat ho gayi hai. aap apne computer me apna sab kuch store rakhte hai. Jaise apke important e-mail, photos ya koi bhi secure data. Par kabhi kabhi apse koi bhi apka relative ya koi friend apse computer ko mang leta hai ki use mail check karna hai ya koi internet par kuch dekhna hai kuch bhi apko aisa sunne ko milega. Iske liye aaj ka humara ye topic he computer par guest account kaise create kare.


    Computer Par Guest Account Kaise Create Kare


    Par aise apne private data ke sath apna computer kisi bhi ke sath share karna shayad apke liye muskil hi hoga or aap aise mana bhi nahi kar sakte ushe apna computer use karne se. Aise time me aap problem me pad jate ho kyon ki apke pas koi option hi nahi bachta. Par aap is problem ko solve kar sakte ho jisse apke computer me apke data ko koi access bhi nahi kar paega. Apna system kisi ko bhi use karne ke liye de bhi paoge. Aap iske liye apne computer system me ek guest account create karna hoga.

    Apke system me 2 type ke account hote hai ek toh administrator account or dusra standard account ya guest account. Apne system me guest account banate hi aap kisi ko bhi allow kar sakte hai apne system ko use karne ke liye or bina kisi dar ke. Kyon ki isse vo user jo apke computer me as a guest work karega apki kisi bhi file ko access nahi kar paega. Isse apka system safe bhi rahega or apko kisi ko no bhi nahi kahna padega.



    Guest account kyo use karte hai


    Agar apse koi apka computer use karne ke liye lele toh kya aap use piche baithe rahege ki kahi vo user apke private folders ya files ko access toh nahi kar raha. Shayad ye possible nahi hoga. Apke computer me apke social accounts, ya apki personal details save rahti hai iske liye jab aap guest account create kar doge toh aap aaram se kisi bhi user ko room me akele apne system ke sath chodke ja sakte ho. Kyon ki isse toh na vo user apke system ki koi bhi file ko access kar peaga. Na hi apke system me koi software install kar peaga. Na hi apke system se kisi bhi data ko remove kar paega. Yaha tak apke browser ki history tak bhi guest account se nahi jaya ja sakta hai.


    Guest account kaise create kare


    Agar aap windows 7 ya 8 use karte hai toh apke liye guest account create karna aasan hi hai par agar aap window 10 use karte hai toh apke liye isme guest account create karna easy nahi hoga. Toh chaliye jante hai pahle windows 7 me kaise user create kare.



    Window 7 me Guest account kaise create kare



    1. Sabse pahle apko iske liye apne system se start button par click karna hoga. Ab apko yaha par control panel ka option najar aaega.

    2. Ab apko control panel ko open karna hoga. Yaha ab apko kuch new option najar aaege. Apko yaha se user account ke option ko select karna hoga.

    3. Ab apko yaha change account par click karna hoga. Yaha apke samne kuch or new options aaege.

    4. Ab apko yaha se "create new user" par click karna hoga. Apka yaha account type ko select karna hoga. Yaha apko guest account par click karna hai.

    5. Is account me koi bhi password enable karne ki need nahi hai. Ab apko ok press karna hai apko account create ho jaega.


    Window 10 me Guest account kaise create kare


     aap easily windows 10 me guest account create nahi kar sakte par aap command prompt ki help se is kaam ko bade aaram se kar sakte hai. Toh chaliye jante hai kaise aap is trick ko use kar sakte hai.



    1. Sabse pahle apko iske liye apne system ke keyborad se window+x key ko ek sath press karna hoga. Yaha apke samne kuch option najar aaege. Inme se apko "command prompt(admin)" ko select karna hoga.

    2. aap agar chay toh command prompt ka administrator version bhi select kar sakte hai user account create karne ke liye.

    3. Agar apko yaha"user account control dialog box" najar aaega toh apko isme "yes" confirm karna hoga. Ab apke samne command prompt open hoke aa jaega.

    4. Windows me visitor account guest account ke name se default save hota hai. Agar aap is name ko change karna chahate hai toh aap ishe apni marzi se de sakte hai. Ab apko apne command prompt me is query ko enter karna hoga.

    "net user visitor / add / active: yes "



    1. Apki command execute ho jane ke baad apke samne password ka option aaega. Yaha apko kisi bhi security ki need toh nahi hoti. Kyon ki ye account ab sabhi ke liye banate hai. Toh apko yaha kisi bhi password ko dene ki jarurat nahi hai. Iske liye apko is command ko execute karna hoga.

    "net user visitor *"

    Ab apko password field me enter press karna hoga. Jab apse password re-enter mange toh apko isme fir se enter hi press karna hoga.



    1. By default apka visitor user account standard user account me add ho jata hai. Par apko is account ko limited rakhne ke liye hum ishe visitor user account me add karna hoga. Iske liye hume ishe user group se delete karna hoga. Iske liye apko is command ka use karna hoga.

    "net localgroup users visitor /delete".



    1. Ab apko is account ko visitor account me add karna hoga iske liye apko is command ko execute karna hoga.

    "net localgroup guests visitor / add".

    Ab apko apne command prompt ko close karna hoga. Apka account successfully create ho chuka hai. Visitor group me add bhi ho chuka hai.



    Ab apko apka visitor account apke desktop ki screen ke corner me show hoga. Agar apko apna computer kisi ko use karne ke liye dena hai toh apka acc password se safe rahega. Visitor account par click karke koi bhi bade aaram se apka pc use kar peaga.

    Iske liye corner me dono option apko sath najar aaenge isme se ek visitor name se account banega ya apne koi or name apni taraf se diya hai toh apka guest account ushi naam se create hoga. Ab apka system secure bhi rahega or aap ishe kisi or ko use karne ke liye bhi bade aaram se de sakte hai.

    Kyon ki apke administrator account se aap apne system me changes kar sakte hai. Visitor account se login karne par apka system is user ko kisi bhi changes ki permission nahi dega. Ab toh aap samajh chuke he ki computer par Guest account kaise create kare aur uske steps.



    Keylogger Kya Hai?


    how to