Chest Kaise Banaye - Body Building

Share:



    Chest Kaise Banaye - Body Building
    Chest Kaise Banaye - Body Building

    Chest Kaise Banaye - Body Building


    Aaj ka hamara body building topic he Chest Kaise Banaye. Agar apko logon ko akarshit karna achha lagta hai to aap apki body ko ek mardana akar dena hoga. Jisase ladkiya aapki taraf akarshit hongi. Agar aapki chest auron se badi hai to iska matlab hota hai aap mein himmat bhi auro se kai guna jyada hai. Police, military mein bharti hone ke liye unki bhi chest badi hone sambandh me shart hai. Aaj ka humara yeh topic kafi interesting hain and mujhe lagta hain ki iss lekh ko padhte samay kisi bhi insaan ko boring nahi lagega balki iss lekh ko padhne main aap logo ko kafi maza ayega.

    Aaj ke iss lekh main hum aap logo ko batayenge ki chest kaise banaya ja sakta hain. Aaj hum kuchh aise tricks ke bare main aap logo ko batayenge jisko agar aap log acche se follow karenge toh bahut zaldi aap log ek damdar aur akarshit chest hasil karne main kamyab ho jayenge. Toh intejar kis baat ka aaiye jan lete hain ki ek damdar aur akarshit chest pane ke liye aap log kin kin tariko ko apna sakte hain aur ek aakarshit chest pakar apne aap par garv kar sakte hain. To ek nazar dalte hai ki Chest Kaise Banaye, Body Building kaise kare.


    Chest Kaise Banaye - Chest Exercises


    Bench Press


    Chest badhane ke liye is vyayam ko sabse mahtvapurna mana gaya hai. Is vyayam ke liye aap bench press machine ka upayog kar sakte hai.

    Aisa wajan chune jise aap 7 se 8 bar utha paye.

    Ab bench machine par let jaye, aur dande ko dono hantho se dono kandho se thoda jyada antar rakhke pakad le.

    Us dande ko aapki chest tak (chhati tak) dheere dheere laye.

    Badme use fir shuruwati jagah tak le jaye.

    Aisa bar bar kare fail hone tak. Badme fir 2, 3 min rukakar firse dohraye.

    Agar aap 10 se jyada baa rise kar pa rahe hai to wajhan badha le.

    Dumbbells ya cable station ka upyog kare


    Peeth ke bal let jaye aur dono hthon mein dumbbell ya cable pakde.

    Bahe failaye dono hatho ko thoda body sids se neecha rakhe.

    10 se 12 bar iska pryayog kare.

    Iskee alawa aap push ups, pull ups, dips, drop set aisi exercise kar sakte hai.

    Push up


    Isme aap variety kar sakte hai. Jitna ho sake utne hath failakar ya ek per hawa mein rakhkar wagairh. Har tarah se fayda hoga.


    Pull ups


    Ye aapke hatho ko, bahon ko, chest ko aur pet ko tandarust banata hai. Isme aapko kisi cheez se latak kar khudke sharer ko hava mein uthana he  au rise baar bar karna hai.


    Dips


    Aap inhe Dip bar ya fir apni kamar se uchi par jaha hath rakh pahuch paye aisi jagah par kar sakte hai.



    Chest banane ke kuchh Nuskhe


    Apne khane pine par khas dhyan se


    Aap agar apne chest ko bada aur akarshit banana chahte hain toh aapko apne khane pine ke upar khas dhyan dena hoga. Mera matlab hain ki aapko kya khana chahiye aur kya nahi khana chahiye iss baat par aapko dhyan dena hoga. Behtar hoga agar aap iske liye kisi dietetion ki help le le. Ya fir aap kisi ayese insaan ka help bhi le sakte hain jo apne chest ko develop karne ke liye kuchh dino se laga hua hain aur jisne apne chest ko pahle ki tulna main develop kar liya hain. Jo aapke sehat ke liye thik nahi hain ya fi jo khana aapke liye hanikarak hain uss khane se aap dur hi rahe. Aap agar sanch main apne chest ko pahle se develop karna chahte hain toh khane pine ke matter ko bilkul bhi ignore na kare.


    Alas na kare


    Jab aapne apne chest ko develop karne ka faisla le hi liya hain toh jahir si baat hain iske liye aapko exercise karne ki bahut zarurat padegi. And agar exercise karna hain toh aapko apne alas se bahar aana hoga and apne swabhav main furti lani hogi. Aap apne charitra ko iss tarah se gatthan kariye jis main aapko kisi bhi kaam ko karne main zara sa bhi alash na lage aur har mehnat se mehnat wale kaam ko aap badi asani aur saralta ke sath kar sake.


    Stress bilkul bhi na le


    Aap agar apne chest ko pahle se devolve karna chahte hain toh aap har stress, har chinta se dur rahe. Stress lene se humari body ke growth main bhi rukawat aa jati hain. Isiliye aap log stress toh bilkul bhi mat lijiye aur humesha khush rahne ka prayas kariye. Aap jitna jada khush rahenge aapka chehra aur body utna jada kheela kheela rahega aur aapke chest ko develop hone main bhi madat milegi.


    Bhagne wali exercise kam karo


    Dodne se, tairne se aapki bohot urja kam hoti hai. Is urja ko aap apki takad badhane mein upyog kar sakte ho. Aisi exercises kam karde.

    wajan utane wali exercise karo: Ek abhyas se ye pata chala hai ke wajan uthane wali exercise se takad, snayu (muscle) teji se badhti hai. Aap ise time ke hisab se timer lagake kare to jyda fayda hoga.


    Jitni ho sake utni jyada mehnat lo


    Snayu ko jitna chunoti do ve utne majboot hote hai.Iska matlab ye hua ke aapko jyada se jyada wajan uthane ki koshish aur jyada se jyada prayas(rips) karna hoga. Sabse pehle ye nirnay le ki aap kitna wajan utha sakte hai. Aap tarah tarah ke wajan uthake dekh sakte he jise aap 10 se jyada baar utha sake ve halke aur jise nahi utha paye ve bhari aisa maan le. Agar aap shuruvat kar rahe hai to trainer ke sath sikhna faydemand rahega isase aapko koi jakham nahi hogi.

    Samay ke sath wajan badhate rahe - Isase aapke snayu ki takad badhegi, bhari cheese uthane mein asani badhti jayegi.

    Upar diye gaye tricks ko padhne ke baad aap logo ko itna toh samajh main aa hi gaya hoga ki apne chest ko damdar aur akarshit banane ke liye hume kin kin tariko ko apnana chahiye. Toh jab aap log yeh jante hain humare chest aur jada damdar aur akarshit banane ke liye kin kin tariko ko apnaya ja sakta hain toh aap log intejar kis baat ka kar rahe hain. Aap log jaldi se jaldi in tricks ko follow kariye aur ek damdar aur akarshit chest ke sath apni life ke har ek moment ko full enjoy kariye.



    Ye Bhi Jarur Padhe Six Pack Kaise Banaye.


    how to