Motapa Kaise Kam Kare - Pet Ki Charbi Kaise Ghataye - मोटापा कैसे कम करे

Share:



    Motapa Kaise Kam Kare - Pet Ki Charbi Kaise Ghataye
    Motapa Kaise Kam Kare - Pet Ki Charbi Kaise Ghataye

    Motapa Kaise Kam Kare – पेट की चर्बी कैसे घटाए


    Aaj hum janenge Motapa Kaise Kam Kare, Pet Ki Charbi Kaise Ghataye. Aaj kal motapa ek bahot badi samasya ho gayi he. Sirf bade hi nahi to bachcho par bhi ye dikhai de raha he. Har koi motapa ghatana ke liye dieting karta he, par sirf utna hi jaruri nahi he. Motapa kam karne ke liye aur bahot se aise tarike apnaye ja rahe he jaise yoga, vyayam, bhagana, jym join karna, alag alag tarike ki shalya-chikitsa (surgery). Aksar log Motapa kam karne me lage hote he par unki sabse badi pareshani hoti he pet ki charbi ko kaise kam kare. Kisi bhi rog par koi bhi upay kane se pahale hamesha yeh jan le ki uske piche ki vajah kya he. Pahale dekhenge ki mota honi ki vajah kya he. Niche janiye Motapa Kaise Kam Kare and Pet Ki Charbi Kaise Ghataye.


    Motape Ki Samasya


    Bahut logo ko aapne notice kiya hoga ki unn logo ka sharir toh kafi fula rahta hi hain sath sath unka pet bhi kafi nikla hua rahta hain. Agar humara pet nikla hua rahta hain toh hum kafi gande dikhte hain sath sath humare manpasand kapde pahanne par bhi rok lag jata hain. Apne nikle hue pet ke sath kahi jane se bhi hume guilty feel hota hain. Aapne mehangi mehangi dawaiya bhi suni hogi motapa ghatane keliye, par yakin maniye, un dawaiyose thodasa bhi motapa kam nahi hoga. Hamare specialists ne ye ek mahine ka course banaya he jo aap ghar baithe he kar sakte he.

    Agar humara pet nikla hua rahta hain toh kahi bhi jane se pahle humare man main bas ek hi khayal aata hain ki agar hum kahi bahar jayenge toh pata nahi log humare bare main kya sochenge aur issi khayal ke wajah se hum kahi bhi nahi ja pate. Sath sath humara jada wajan aur humara nikla hua pet humare roj ke jivan main bhi kafi problems create kar sakta hain. Isiliye har haal main hume bas yahi koshish karni chahiye ki kaise hum apne nikle hue pet ko control main kar sake aur apne apne aapko fit rakh sake. Lekin apne aapko fit rakhne ke liye aur apne nikle hue pet ko control main karne ke liye humara yeh janna hui toh bahut zaruri hain na ki hume apne nikle hue pet ko control main rakhne ke liye kya kya upay apna sakte hain. Toh bina thoda bhi samay gawaye aaiye jan lete hain ki hum apne nikle hue pet ko control karne ke liye hum kya kya upay apna sakte hain.

    Motapa hone ki vajah



    1. Jyada ter logon ke motape ki vajah ye he ki unki rozmarra ki jindagi ke bahot se karya baithe bithaye hi ho jate he. Agar aap ko bahot aaram pasand he to aap motape se bach nahi sakte.

    2. Khane pine me dhyan na dene se bhi motapa aa sakta he.

    3. Aaj kal bachche ghar par hi baithe khel khelte he aur saath hi fast food lete he jiski vajah je unnhe motapa gher leta he.

    4. Agar nind puri na ho to bhi motapa aapko pareshan kar sakta he.

    5. Nasha karne se bhi motapa aa sakta he.

    6. Rojmarra ke khan-pan me fat vale padarthon ke samavesh se bhi motapa aata he.

    Aise bahot se tarike aur tips he jinse aap apna motapa kam kar sakte he. Ayiye inhe ek ek karke jane.


    Motapa kam karne ke aasan tarike


    Khane par dhyan de


    Agar aap roz ek waqt 4 roti khate he to uski jagah 3 hi khaye. Ab log sochenge ki kyon na phir 2 hi khata hu toh jaldi motapa kam honga. Ekdam se 2 roti khana shuru na kare isse aapko kamjori aa sakti he, kyon ki hamare sharir ke hisaab se hame sahi matra me poshak aahar bhi milna jaruri he. Toh dhire dhire karke khana kam kare.

    Anavashyak khane se bache sirf swad ke liye khud ko motape ka shikar na kare. Sabse jaruri baat jab bhi bhukh lage tabhi khana khaye. Jaruri nahi roz 3-4 waqt khana hi chahiye. Wo patale logon ka ilaaj he. Mote logon ne sirf 2 hi waqt ahaar le.


    Roj subah sham vyayam kare


    Roj subah doudane jaye. Tez chalne ki aadat dal le. Jo bhi aapko pasand ho wo vyayam kare jisse ki aapko pasina aaye. Kyo ki pasina aayega tabhi to charm (fat) kam honge. Raat ko bhi khane ke baad ghumne ke liye jaye aur jaldi jadi chale. Isse aapki pachan kriya bhi majbut banegi. Subeh uthane ke bad normal chaay naa piye, balki uski jagah Green tea piye.

    Vyayam ke tarike apnaye


    Vyayam me aap cycling, sidhi chadhna-utarana, rassi par se kudna aadi tarike shamil kar sakte he. Hum yogasan karke bhi vajan ko control kar sakte hai.


    Swastha Ahaar


    Agar apko pachan prakriya me taklif ho rahi he to khane ke baad thoda garam pani piye. Pratidin subah ek glass thande pani me 1 chammach shahad milakar pine se bhi charm ki matra kam hoti he. Nimbu ka ras gungune pani me nichodkar pine se bhojan pachane me sahayta hoti he.


    Subah subah apne nashte main parathe ki jagah fruits ka sewan


    Agar aap roj subah subah apne nashte main paratha khate hain toh yahi karan hain ki aapka vajan bahut jada badh chuka hain aur aapka pet bhi nikal aaya hain. Ayese halat main aapko aaj se hi paratha khana chod dena chahiye aur nashte main aapko parathe ki jagah fruits ka sewan karna chahiye. Yakin maniye jis din se aap subah parathe ki jagah apne nashte main fruits ka sewan karne lagenge, ussi din se aap charbi kam honi suru ho jaygi aur jaise jaise aapki charbi kam hone lagegi taise taise aapki vajan ghatni shuru ho jayegi.


    Rassi khelna


    Body ke charbi ko kam karne ke liye rassi khelna bhi kafi faydemand hain. Kyuki rassi khelne se humare sharir ko parishram hota hain aur jab humare body ko parishram hota hain toh humare sharir main se pasina nikalta hain aur uss pasine ke sath sath humare body ki charbi bhi thoda thoda karke nikalti rahti hain. Aur jaise jaise pasina ke through humare body se charbi nikalne lagti hain taise taise humare body main jami atirikta charbi humare sharir se ghatne lagti hain aur taise taise humara vajan bhi ghatne lagta hain. Lekin aap roj rassi khelne ki hogi kyuki ek din ya do din agar khelkar aap chhod denge toh aap inn do din ke mehnat ka bhi koi fayda nahi hoga.

    Ye to kuch mahawapurna tarike the. Niche kuch aur tarike diye he unse bhi aap motapa kam kar sakte he.

    1. Khane ke turant baad pani na piye.

    2. Nind puri kare.

    3. Patta gobi khaye. Patta gobi me charbi kam karne ke gun he.

    4. Hari chay (Green Tea) piye.

    5. Upavaas kare.

    6. Tahalna na bhule.

    7. Yogasan bhi Motapa kam karne me bahot upaykari he.
    how to