Keyboard Ki Shortcut Keys Kaise Istemal Kare |
Computer aaj aap sabhi ke pas hoga. Par aap ishe videos, music ya kisi or entertainment ke liye use karte hai or jo professional hote hai ve apna sabhi kaam isme bade aaram se karte hai. Par aap bhi agar apko computer ke bare me jyada knowledge nahi hai phir bhi aap apne apko computer ke expert bana sakte hai. Iske liye apko computer ke basics function aane chahie. Chalo aaj hum apko batate hai keyboard ki shortcut keys kaise istemal kare.
Keyboard Ki Shortcut Keys Kaise Istemal Kare
Aap kaise apne computer system me keyboard ki shortcut keys ko use kar sakte hai. Isse ek toh apke kaam ki speed badh jati hai. Par iske liye apko pata hona chahiye konsi key ko kis key ke sath combine karke use kare. Aap apne computer me bahut se work karte hai. Jaise write karne ka. Data ko copy karne ka ya data ko yaha vaha move karne ke iske liye apko sahi keys ka pata hona chayie varna aap apne system me is kam ko karne ke liye kafi time laga dete hai.
Par agar aap iske liye apne keyboard ko use karoge toh aap ye kam badi hi jaldi kar loge. Kyon ki writing karte time apko content ko move bhi karna padta hai. Use copy bhi karna padta hai iske liye aap phir apne mouse ka use karte hai. Isse alag bhi agar apne koi function use kiya or ushe ab apko undo karna hai toh ye sabhi shortcut tricks aap apne keyborad se direct kar sakte ho. Toh chaliye jante hai keyboard ki shortcut keys kaise istemal kare.
Keyboard ki shortcut key
- F1
Agar apko computer me help ki jarurat hai toh iske liye apko f1 press karna hoga isse apko help ka option mil jaega.
- F2
Apke computer me kafi sare folders save hote hai. Par kabhi kabhi apko inko rename karne ki jarurat padh jati hai. Iske liye apko apne computer se pahle us folder ko select karke f2 key ko press karna hoga. Apka folder rename ho jaega.
- F3
Apko apne computer me kisi bhi file ko search karne ki jarurat padh hi jati hai iske liye apko apne computer se f3 key ko press karna hoga apko jo bhi files search karni hai aap ishe press karne ke bad kar sakte hai.
- F4
Apko agar apne computer me kisi bhi file ko kisi bhi destination par move karna hai toh apkp iske liye apne system ke keyborad se f4 press karna hai apko file move ho jaegi.
- F5
Apka computer kabhi slow hota hai. Iske liye aap apne computer me refresh option ko use karte ho aap ishe apne keyboard se bas ek key ko press karke kar sakte hai. Toh iske liye aap f5 key ka use kare.
- F10
Apne computer me apko jab bhi menu bar ko use karne ki jarurat pade apko iske liye keyboard ki f10 key ka use karna chahie apke samne menu bar open hoke aa jaega.
- Ctrl+c
Apko writing karte time apne system me kabhi kabhi kuch copy karne ki jarurat padh jati hai. Jaise image ya text or aap kabhi kuch padhte hai toh bhi apko kuch copy karna padh jata hai. Iske liye apko apne system me se ctrl+c key ko ek sath press karna hoga apka content copy ho jaega.
- Ctrl+x
Apne computer me kisi bhi file ya folder ko cut karne ke liye apko apne system ke keyboard se in dono keys ek sath press karna hoga. Isse apki selected file cut ho jaega. Phir jaha apko paste karna hai kar de.
- Ctrl+v
Agar aap apne system me kisi bhi data ko copy karte hai vo folder hoy a file. Ya aap apne data ko system me cut karte hai to hap ishe ctrl+v option se jaha apki marzi paste kar sakte hai.
- Ctrl+z
Agar aap galti se apne system me se kisi bhi file ko delete kar dete hai toh apko iske liye ctrl+z key ko ek sath use karna hoga. Isse apko delete file undo ho jaegi or apke system me vapas aa jaegi.
- Ctrl+b
Apke agar apne system me writing karte hue kisi bhi font ke style ko change karne ki jarurat padhti hai toh aap ctrl+b ko use karke word ko bold kar sakte hai.
- Ctrl+u
Isse aap apne system me agar kisi bhi word ya line ko underline karna chahate hai toh in keys se kar sakte hai.
- Ctrl+a
Apne system me pure page ko ek sath select karne ke liye in keys ka use kare. Apka pura page ek bar me hi select ho jaega.
- Ctrl+esc
Agar apko apne system me start menu par jana hai toh in keys ko ape k sath use karke is menu par ja sakte hai.
- Ctrl+shift+esc
Apko agar apne system me task manager ko open karna hai toh iske liye aap in keys ko use karke apne task manager par jaa sakte hai.
- Ctrl+tab
Agar apko apne browser me ya window mw koi bhi new tab open karne ki need hoti hai toh aap in keys ko use kare apke liye ke new tab open hoke aa jaegi.
- Delete
Agar apko kisi bhi file ya folder ko delete karne ki jarurat hai to hap is key ko use karke kisi bhi file ya folder ko delete kar sakte hai.
- Home
Is key ko press karne se aap job hi kaam apne system me kar rahe hai aap uski starting me aa jaenge.
- Alt+f4
Agar apko apne system me kisi bhi program ko off karna hai toh apko iske liye apne system me in dono keys ko ek sath use karna hoga apka program off ho jaega.
- Alt+tab
Agar apke apne system me sabhi programs ko ek sath dekhna hai in keys ka use kare.
- Window+u
Apni system me setting se narrator open karne ke liye aap in keys ka use kare.
- Window+l
Apne computer ko ek dam direct lock karne ke liye aap is option ka use kare.
- Window+f
Isse aap kisi bhi file ya folder ko search karne ke liye use kare.
- Window+r
Apne computer me run ko open karne ke liye iska use kare.
- Window+m
System ki sabhi program ko minimize karne ke liye in keys ko use kare.
- Window+shift+m
Isse aap minimize window ko restore kar sakte hai.
- Ctrl+n
Apne system me new tab open karne ke liye.
- Ctrl+f
Kuch bhi search karne ke liye.
- Ctrl+s
Apne system me files ko save karne ke liye.
- Ctrl+p
Apne system me print karne ke liye.
- Window+prtscr
System me screen shot lene ke liye.
- Ctrl+
System me zoom karne ke liye.
- Ctrl-
Isse aap zoom hue content ko zoom out karne ke liye.
Umeed hai ki apko keyboard ki shortcut keys ki at least basic jankari to aa hi gayi hongi.