Google Maps App Kaise Use Kare - Tarike aur Tips In Hindi

Share:



    Google Maps App Kaise Use Kare
    Google Maps App Kaise Use Kare

    Aaj ka hamara topic badahi interesting aur useful he, Google Maps App Kaise Use Kare? Mobile Phones ke aa jane se humari life kitni easy ho gayi ye bat ek Smartphone vala bade ache se janta hai. Pahle agar apko kahi travel karna hota tha or apke liye vo jagah bilkul unknown hoti thi. Toh shayad apko vaha jane me kitni problems ka samna karna padhta tha. Vaha chale jane ke baad bhi apko vo jagah aaram se mil jaye ye bhi jaruri nahi tha. Par aaj Smartphone ke aa jane ke bad aap kahi bhi bade aaram se ja sakte hai.

    Google Maps App Kaise Use Kare


    Rasta apko kisi se puchne ki jarurat nahi hai bas apko iske liye apne phone me Google Maps ka use karna hoga. Agar apko Google Maps use karna aata hai toh aap duniya me kahi bhi ja sakte ho. Kisi bhi place ka pata apne phone se kar sakte ho. Apko agar kahi jana hai toh aap pahle hi route decide kar sakte ho konsa rasta apko sabse chota padega. Isse apka time toh save hota hi hai or apko apni car ya vehicle ko kahi rok ke kisi se puchna bhi nahi padega. aap Google Maps ka use karke apni location ka pata laga sakte hai. Apko jaha bhi jana hai bas apko apni location se destination batani hogi apka phone apko rasta bata dega.

    Android phone me aap Google Maps ko install kar sakte hai. Isse apko bahut se fayde hai par pahle hum jante hai kaise aap ishe apne phone me install kare.

    Apne Mobile Me Google Maps Kaise Install Kare


    1. Sabse pahle apko apne mobile se Google playstore par jana hoga. Yaha apko google maps likh ke search karna hoga.

    2. Ab apke samne Google Maps app ko install karne ka link aa jaega apko yaha click karna hoga. Ye apke mobile me install ho jaega.

    3. Ab apko is app ko apne mobile me open karna hoga. Ab ishe kaise use kar sakte hai iske liye niche diye gaye steps ko follow kare.

    Google Maps App Kaise Use Kare


    Sabse pahle apko apne phone me login account se apne Google Maps app me add karna hoga. Isse aap is app me sign in ho jaoge.

                                             Apni Location Ka Pata Kaise Kare

    Agar aap apni current location ka pata karna chahate hai toh is app se apni location ka pata laga sakte hai. Iske liye aap jaise hi Google Maps ko open karoge ye apki location ko locate kar dega.


    Kisi Bhi Location Ko kaise Search Kare


    Agar apko kahi jana hai or apko us location ke bare me pata karna hai ki vo kaha par hai. Jaise aap kabhi interview ke liye jate hai ya kahi pahli bar ghumne jate hai toh apko vaha jane ke liyr sahi raste ka pata hona chayie. Iske liye apko kuch nahi karna bas apni destination ko Google Maps ke search bar me type karke enter karna hoga. Ye apki destination ko search karke bata dega ki ye place kaha padegi. Isse aap badi aasani se vaha ja sakte hai.


    Apni Location Se Destination Ka Distance Kaise Pata Kare


    Agar apko apne ghar ya office se kahi bhi jana hai toh apke mind me ye question jarur aata hai ye kitni dur padega. Apko iske liye bas apne mobile se Google Maps app ko open karna hai or sabse pahle apko apni screen par "Go" option najar aaega. Apko is par click karna hoga apke samne 2 search box open hoke aa jaenge. Ab apko pahle search box me apna Starting Point choose karna hoga jaha se apko distance calculate karna hai. Fir apko dusre search box me apni destination place dalni hogi jaha par apko jana hai or apko search option ko press karna hai. Uske baad apke samne distance or roadmap aa jaaega.

    Navigation Kaise kare


    Agar apko kahi jana hai or apko route bhi pata karna hai ki aap kaise vaha jaye iske liye apko apne Google Maps se Start Navigation par click karna hoga. Jaise hi aap Starting Point or Destination choose kar loge apko bas navigation ko start karna hoga. Jisse aap jaha tak travel karoge apki location apke sath chalegi or ek road ka view apke samne aa jaega. Jisse apko pata lagta rahega apko kab turn lena hai. Apko kab right turn lena hai kab right. Isse aap jitna travel karte rahoge apka distance apki location se itna hi kam hota chala jaega. Isse aap apni destination par bade aaram se ja sakte ho. Bina koi rasta bhule.

    Apni Timeline Set Kare


    Agar aap Google Maps me sign kar lete hai toh isme apki ek timeline ban jayegi. Jo apke travel history ke according apko route traffic ya apki location. Apki sari history ko use karke apke navigation ki speed ko badha degi or apko fast se fast result provide karegi.

    Near By Places


    Agar apko apne near koi bhi place ko search karna hai toh aap is option se kar sakte. Ye option apko apke Search Box ke niche najar aaega. Yaha se apke near ke sabhi restaurant, petrol pump ya koi bhi place ya banks vagera kuch bas ek click me search kar sakte hai.

    Apne Area Ka Traffic Pata Kare


    Agar apko apne area ka traffic pata karna hai toh aap Google Maps se is kaam ko kar sakte hai. Iske liye apko apne map me sign in rahna padega isse ye apki location ko access karega or yaha apko See traffic in your area ka option najar aaega. Apko is option par click karna hoga. Apke area ka sara Traffic apke samne hoga.

    Apni Search Ko Offline Save Kare


    Ap Google Maps ke Offine feature ko use karke apni kisi bhi search location ko Offine save kar sakte hai. Kyon ki jaruri nahi hai har time apke phone me network available ho toh iske liye aap apni search ko offline save kar sakte hai.

    Satellite


    Agar apko kisi bhi place ka satellite view lena hai toh aap is option ko use kar sakte hai. Isse apko us place ke aaspas ki Streets vagera sab kuch najar aaega.

    Your Contribution


    Agar aap kabhi google par kuch search karte hai or apko vo place nahi milti or aap vaha gaye ho ya apko pata hai toh aap vo place isme add kar sakte ho. Ya aap apne photos bhi upload kar sakte ho. Ye facility bhi apko Google Maps me mil jati hai isse dusro ki help ho jati hai.

    Public Transport Or Cycling


    Agar apko public transport ki information unke departure or arrival ka pata karna hai toh aap is option se kar sakte hai. Cycling option se aap apni search apne motion ke hisab se kar sakte hai isse apko short distance ka map show ho jaega.

    Google Earth


    Is option ko use karke aap earth ka 3D view le sakte hai.

    Ab toh aap achi tarah se samajh gaye honge ki Google Maps App Kaise Use Kare. Toh bas in tips ko apnaiye aur apna rasta khud dhundhiye.
    how to