Dvd Writer Ki Jankari aur Types |
Aaj sabhi computer toh use karte hi hai lekin apko iske sath computer ke hardware components ki jankari bhi honi chayie. Computer me bahut se aise components hote hai jo apke liye bade kaam ke hote hai. Apne apne computer me dvd writers ke bare me toh suna hi hoga. Toh aaj hum dvd writer ki jankari aur dvd writer ke types ke baare me janenge.
Dvd Writer Ki Jankari
Dvd writers ko use karke aap kisi bhi blank dvd ko write kar sakte hai. Iske liye apko ek blank dvd ki jarurat padti hai. Par apko jo dvd’s use karte hai vo bhi kitne hi types ki hoti hai jinme se kuch me aap data write kar pate hai or kuch me nahi. Iske liye apko jarurat hai is bare me sahi knowledge ki. Ki apke system me dvd writers hote kya hai or ye kis liye use kiye jate hai or ye kaise kaam karte hai. Toh chaliye jante hai details me dvd writer ki jankari.
Dvd writer kya hote hai
Ap kabhi bhi koi bhi system market se lene jate hai to hap isme ye check jarur karte hai ki is system me dvd writer hai ya nahi. Agar dvd writer nahi hai toh sayd hi aap system ko lena bhi pasand kare. Toh chaliye jante hai ye itne jaruri kyo hote hai pr isse pahle jante hai kuch dvd ke bare me.
Digital versatile/video disc
Ye ek compact disk hoti hai jiski capacity agar aap single sided lete hai toh 4. 7 gb hoti hai. Par aajkal ye double sided me bhi available hai. Jisme apko kafi jada space mil jata hai jo approx 17 gb hota hai. Dvd ko aaj sabhi high definition ki videos ko store karne ke liye kiya jata hai kyon ki isse apki video ki quality kam nahi hoti or na hi kisi data ka koi loss hota hai.
Dvd ek toh apne kam price or high storage capacity ki vagah se aaj bahut use hone lagi hai. Kyon ki aap apne data ko isme save hi nahi jab aap chay ishe delete karke dusra naya data bhi store kar sakte hai. Ye drives rewritable hoti hai. Kyon ki aap inhe bar bar use kar sakte hai. DVD writer ki jankari padh li toh chaliye jante hai kuch dvd writer ke types ke bare me.
Dvd rom drive
Ye drive apko market me bahut hi kam price me mil jaegi. Ye apke computer system me sabse jyada use hone vali drive hai. Isme aap dvd disc ka use kar sakte ho. Ye drive dvd data ko padhne ke liye use hoti hai. Isse aap apni dvd me save ki hui sabhi movies ko bade aaram se chala sakte hai. Par iske sath ism eke preshani bhi hai. Isme aap data ko burn nahi kar sakte matlab aap is drive se kisi bhi dvd me data write nahi kar sakte ye hi is drive ki kami hai jiski vagah se ye apko market me bade hi kam price me mil jaegi.
Dvd writer
Ap dvd writer se kisi bhi drive me chay vo cd hoy a dv dap isme data ko read bhi kar sakte hai. Iske sath hi aap isme data ko write bhi kar sakte hai. Agar apki disc me koi bhi data save hai toh ye apke sare data ko apke computer system par show kar deta hai. Ye ek external hardware system hai jise aap apne computer se attach bhi kar sakte hai vaise toh aajkal ye apke computer me hi in built aata hai par agar nahi hai to hap ishe externally apne computer me use kar sakte hai. Ye thode mahnge bhi hote hai.
Blu-ray drives
In drive ko pahle game khelne ke liye use kiya jata tha aap ab inhe computers me bhi use kiya jane laga hai. Inki cost bahut jada hoti hai jiske vagah se apko ye kam hi system me najar aaegi. Inka use data ko write ya show karne ke liye kiya jata hai aap inse data ko rewrite bhi kar sakte hai. In drives ki performance kafi high hoti hai jinki vagah se apka kaam kafi jadli ho jata hai. Ye disc sabse pahle sony company ne manufacture kit hi.
Dvd-r
Yaha par r jo use kiya gaya hai vo writable ke liye use hua hai. Pahle dvd writers only data ko read kar pate the par ab ve easily disc me data ko write bhi kar pate hai. Apko inme purple side dikhegi jo die hoti hai. In drives ki capacity 4. 7 gb hoti hai. Ishe aap data ko read or write dono kar sakte ho.
Window dvd writer kaise kaam karta hai
Iske liye apko apne system me ek dvd ko insert karna hoga. Ab apko apni drive me hi apki enter ki gayi disc ki property show hogi. Ab apko apne computer ki memory location par jana hoga. Yaha apko apni disc show hogi ushe open kare. Agar apko isse data ko read karna hai toh aap bade aaram se isse data ko read kar sakte hai. Apko bas apni disc me enter karna hoga or jo bhi data apki disc me hai vo apke system par show ho jaega.
Agar apko isme data ko write karna hai toh aap ye kaam bhi bade aaram se kar sakte hai. Bas apko yaha apni disc ko select karna hai or jis bhi data ko aap isme write karna chahte hai or data ko yaha paste karna hoga or ab apko burn data par select karna hoga apka data write hona shuru ho jaega.
Agar apko apni disc ke data ko rewrite karna hai toh iske liye sabse pahle apko apni disc ke data ko select karna hoga. Aur apko apne mouse se right click press karke, apke samne disc ke data ko delete karne ka optipn bhi aa jaega. Ab bas apko apni disc ko format karna hai. Jisse ab jis bhi data ko isme write karna chahte hai ushe select karke aap bade aaram se isme transfer kar sakte hai.
Softwares ko agar aap apni dvd me transfer karna chate hai toh iske liye apko apni dvd ko boot karna hoga jisse aap isme softwares bhi aaram se copy kar sakte ho. Kabhi apko agar apni windows ka backup lena par jaye toh aap sara data dvd writer ki help se apni kisi bhi dvd me write kar sakte ho bas apko apni dvd ko boot karna aana chayie.
Toh apko dvd writer ki jankari mil chuki hai. Aap ab dvd writer ko use karke bade aaram se apni disc me data ko write ya read kar sakte ho bas apko humare batayi gayi bato ko dhayan me rakhna hoga. Aap dvd writer se judi sabhi jankari hasil kar sakte ho.