Computer Ka System Time Kaise Change Kare

Share:



    Computer Ka System Time Kaise Change Kare
    Computer Ka System Time Kaise Change Kare

    Hello all, aaj hum janenge Computer Ka System Time Kaise Change Kare? Time aaj sabhi ki life me important hai. Iske liye aap watch ka use karte hai ya smartphone or computers ko bhi. Computer me agar time sahi nahi hai toh isse apko problem ho sakti hai kyon ki office me kaam karte hue apka dhayan apne mobile ya watch par na jake sidhe apke computer ke desktop par jati hai. Agar isme apka time sahi nahi hai toh apko isse preshani toh hogi hi. Isi ke computer me date bhi apni importance rakhti hai. Kyon ki aap time or date se apni kisi bhi task ko schedule kar sakte hai. Apne project ke liye plan ready kar sakte hai.

    Computer Ka System Time Kaise Change Kare

    Aaj sabhi apni life me technology par har kaam ke liye depend hote jaa rahe hai. Is liye aap apna routine time or date se hi manage karte hai. Agar apko apke system me time galat milta hai to hap isse meetings attend karna bhul sakte hai or apke jaruri kaam bhi. Isse alag bhi apke computer me kuch aise softwares hote hai jo apke system ki current date or time par hi work karte hai. Agar apke system ye sahi nahi hai toh in softwares ko resources hi available nahi hote.

    Jaise apne dekha bhi hoga kuch companies me apko apni daily ki work details deni hoti hai. Par agar apke system ki date sahi nahi hai toh apni details isme feed hi nahi kar paoge ya aap isme block bhi ho sakte ho. Kuch aise softwares bhi hote hai jo kuch limited period ke liye registor hote hai agar apke system ki date expiry ko cross kar gayi toh isse apko kafi problem uthani pad sakti hai. Par aap apne system ke date or time ko badi aasani se change kar sakte hai. Par isse pahle hum jante hai kyo jaruri hai system ke date or time ko change karna.

    Computer Ka System Time importance

    1. For task scheduling


    Apne system me tasks ko manage karne ke liye aap time or date set karte ho. Agar ye galat ho jaye toh apka computer ko jo work diya gaya hai. Ushe nahi kar paega. Aap apne computer se online blog ko upload karne ka kaam karate hai. Kisi bhi scientific instrument ki activities ke result ko check karne ke liye. Agar apke system me date or time wrong hai toh apka system reliable work nahi karega.
    1. File information


    Jab bhi aap apne system me koi bhi file save karte hai ya koi bhi new file create karte hai toh apka computer iske liye system clock ka use karta hai or jis bhi time pr or jo date hoti hai file ke system me aane ke time par ye sari information files ki details me store kar deta hai. Aap apne computer se job hi mail ya message send karte hai iska sending time or date apke computer ke pas as a record save rahta hai. Agar apke system me date or time galat hai toh ye apke liye kabhi critical situation bhi ban sakti hai agar apka data sensitive hai toh.
    1. Software & access authorization


    Agar apke system ka time sahi nahi hai toh. Kuch aise softwares apke system me install hote hai jo internet based authorization scheme par work karte hai. Iske liye jaruri hota hai apke system me time or date bilkul correct rahna varna aap jab bhi in softwares se connect karne ki kosis kroge toh apki sari request reject ho jaegi or apko koi resource available nahi hoga or aap apna kaam hi nahi kar paoge. Kuch softwares apko bas limited time ke liye available hote hai. Jiske liye apko use karne ke liye kuch fix time or date mention hoti hai agar apke system me ye date or time isse jyada yak am ho jaye toh inka licence apke liye expire ho jata hai or ye apke system me kaam karna band kar dete hai.

    Computer Ka System Time Change hone ke reasons


    1. Iske liye kafi sare reasons ho sakte hai. Kabhi aap jab bhi apne system ka time change karte hai toh isme apko “zone” ko select karna hota hai. Sabhi “zone” ka alag alag time hota hai agar aap galti se bhi koi or “zone” select kar loge toh apke system ka time kisi or “zone” par set ho jaega jo galat hai.

    2. Kabhi kabhi apke system me aise malware software enter kar jate hai jo apke system ke date or time ko change kar dete hai. Iske liye ve apke system ki settings ko change kar dete hai or full control system par kar lete hai. Aise programs kisi specific task ke liye banaye jate hai. Jisse apke system ke time or date ko control kiya ja sake.

    3. Agar apka o. S daylight savings on rakhta hai toh isse bhi apke time or date me kuch farak aa jata hai jiski vagah se apke system ke time or date change ho jate hai.

    Par apne system ke time or date ko bilkul correct rakh sakte hai iske liye bas apko pata hona chayie aap apne system ke time or date ko kaise change kare. Iske liye niche diye gaye steps ko follow kare.

    Computer Ka System Time Kaise Change Kare

    1. Iske liye sabse pahle apko apne system ke desktop par time or date ka option najar aaega. Apko is par click karna hoga apke samne ek new window open hoke aaegi. Jisme apko date or time najar aaege. Ishe me niche apko “change date and time settings” ka option show hoga.

    2. Yaha ab apko is option par click karna hoga. Apke samne kuch or options aa jaege. Sabse pahle apko yaha “zone” ka option najar aaega. Apko is par click karna hoga isse apke samne jitney bhi “zones” available honge apke samne aa jaenge. Yaha se apko apne “zone” ko select karna hoga. Agar apko ye select nahi karna hai to hap ishe skip karke aage option par badhe.

    3. Ab apko niche apne system ke time ko set karna hoga. Iske liye apko exact time ka pata hona chayie. Ab apko ok click karna hoga.

    4. Ab apko apne system me date ko change karna hoga iske liye apke samne calendar open hoga apka vaha se sabse pahle day ko select karna hoga. Fir apko yaha se current month ko select karna hoga. Ab apko yahi se year ko bhi select karna hoga. Iske baad apko niche ok ka option show hoga. Apko ishe press karna hoga. Apke system ke date or time change ho jaege.

    Ab apko is window ko close kare or aap dekh sakte hai apke computer ka system time and date change ho chuke hai.
    how to