Browser Par Ads Disable Kaise Kare - Speed Surfing | Hindi Me

Share:



    Browser Par Ads Disable Kaise Kare

    Browser Par Ads Disable Kaise Kare


    Internet aaj apko sabhi ke phone ya computer me badi aasani se mil jayega. Aap jab bhi internet use karte hai or kisi website ko open karte hai apke samne kafi sare Ads apko najar aate honge jiski vagah se aap kabhi kabhi na toh kuch padh pate hai. Ya ache se website par agar apko kuch karna hai to hap kar bhi nahi pate sabhi kuch hota hai in ads ki vagah se. Par apko sayd hi pata hoga ye ads apke browser me aate kyo hai or aap agar chay toh inhe apne browser me disable bhi kar sakte hai. Toh aaj janenge Browser Par Ads Disable Kaise Kare?


    Browser Par Ads Disable Kaise Kare


    Isse ek toh apki browsing speed badh jaegi or apko in bina matlab ke ads se chutkara bhi mil jaega. Kyon ki apne kabhi online game khele honge us page apko itne ads mil jaege jisse apko us page par kuch bhi select karna bada muskil sa ho jata hai. Or agar aap galti se un ads par click karde toh ptani nahi aap kaha se kaha chale jate hai. Ye ads apke phone ke browser or mobile ke browser dono jagah apko show hote honge. Par aap apne browser ki kuch settings ko change karke in ads ko apne mobile ya computer system me disable kar sakte hai. Par isse pahle hum jante hai kaise apko ye ads show hote hai.

    Kaise Apko Same Ads Sabhi Jagah Show Hote hai


    Apne kabhi is baat par dhayn diya hoga apko apne computer. Laptops ya mobile me sabhi jagah kuch ek jaise hi ads show hote honge. Agar apne kisi ads par click kiya hoga vo apko sabhi jagah dikhayi deta hoga. Iska reason hota hai apke browser ki “Cookies” isme job hi ads aap select karte ho vo save ho jate hai or jab bhi aap apne browser se koi bhi websites ko open karte ho apke samne vahi ads open ho jate hai. Par ishe disable karna bhi bada aasan hai iske liye apko kuch tricks ka use karna hoga jisse aap apne mobile or system se inhe disable kar sakte ho. Toh chaliye jante hai pahle kaise aap inhe apne mobile ke browser me disable kare.


    Mobile Ke Browser Par Ads Disable Kaise Kare


    Apne mobile me aap ads ko badi aasani se disable kar sakte hai iske liye apko bas niche diye gaye steps ko follow karne hoga.



    1. Sabse pahle apko apne mobile ke menu option ko press karna hoga yaha apke mobile ke sare options apke samne aa jaege. Yaha apko settings ka options dikhega. Yaha ab apko apne phone ki settings ko open karna hoga.

    2. Ab apko settings me kuch or options najar aaege isme se apko Google Settings ke option ko search karna hoga. Fir us option ko open kare. Ab apko isme ek Ads ka option najar aaega. Is par click karke ishe open kare.

    3. Ab apko isme “Opt out of Ads Personalization”ka option show hoga ishe apko enable karna hai ab apke mobile me aane vale sabhi Ads block ya disable ho jaege or aap apne browser se fast surfing kar paenge.

    Computer Browser Par Ads Disable Kaise Kare


    Iske liye apko apne Computer system me ek software ko install karna hoga. Iske liye niche diye gaye steps ko follow kare.



    1. Sabse pahle apko apne system se apne browser ko open karna hoga. Ab apko apne browser ke search bar me jake “Adblock” type karna hoga. Apke samne kafi sare links open hoke aa jaenge. Inme se apko kisi bhi link ko open karna hoga. Apko yaha se Adblock ko download karne ka option mil jaega. Ab aap ishe download kare.

    2. Ab apko download ho jane ke baad ishe apne system me install karna hoga. Iske bad aap is software ko apne system me open kare. Apke samne ek window open hoke aa jaegi. Yaha apko upar right side me ek hand ka sysmbol show hoga. Apko is hand ke symbol par click karna hai.

    3. Ab apko click karne ke bad yaha or kuch options najar aaege. Apke samne ek dialog box open hoga isme se apko “Block Ads On This Page” par click karna hoga. Ab apka adblock start ho jaega or apke browser me aane vale sabhi Ads ko khud hi rok dega.

    4. Agar apko fir bhi koi or Ads najar aate hai toh iske liy apko sabse pahle un sabhi Ads ko select karna hoga jo apko bar bar show ho rahe hai. Ab apko ek bar fir hand symbol pr jana hoga or vaha apko fir se click karna hai. Ab apko fir se “block Ads on this page” par click karna hoga. Yaha apko ek new option milega “block this Ad” ab aap is par click karde. Apko apne slider ko tab tak move karna hoga jab tak apko Ad dikhna band nah o jaye.

    5. Iske baad apko niche “Looks Good” option par click karrna hoga vo Ad humesha ke liye aana band ho jaega.

    Google Sign-In Hone Par Ads Disable Kaise Kare


    Iske liye apko kuch settings karne ki jarurat padegi iske iye apko niche diye gaye steps ko follow karna hoga apke Ads disable ho jaenge.



    1. Sabse pahle apko apne Google Browser ko open karna hoga. Ab apko apne search bar me jake type karna hoga www.google.com/settings/ads/authenticated enter press karna hoga. Apke samne ek page open hoke aa jaega.

    2. Apko yaha is new page me “Ads based on your interests” option najar aaega. Apko is option par click karna hoga. Apke click karte hi apko ism ek or option najar aaega yaha apko ishe OF karna hoga.

    3. Ab apke samne ke new dialog box open hoke aa jaega. Yaha apko “switch OFF”link najar aaega apko is par click karna hoga isse apke Ads ko disable karne ke selection ka verification ho jaega or apke browser ke sabhi Ads disable ho jaenge.

    Other Website Browser Par Ads Disable Kaise Kare


    Agar aap Google Sign-in nahi hai to hap is trick se apni jis bhi website par aap Ads ko disable karna chahate hai aap bade aaram se kar sakte hai iske liye niche diye gaye steps ko follow kare. Apke Ads disable ho jaenge.



    1. Sabse pahle apko apne system se apnna browser open karna hoga yaha apko type karna hai www.google.com/ads/anonymous. Yaha se aap Ads ki settings par chale jaenge.

    2. Iske bad apko upar google sign in mw jo steps bataye gaye same aise hi apko karna hoga apke Ads disable ho jaenge.

    Upar batayi gayi sabhi tricks ko use karke aap apne mobile ya computer system Browser Par Ads Disable Kaise Kare ye samajh hi gaye honge. Iske liye bas apko humare bataye gaye steps ko ek ek karke follow karna hoga.

    how to