Bank Account Kaise Khole - बॅंक अकाउंट कैसे खोले - क्या चीज़े लगती है

Share:



    Bank Account Kaise Khole

    Aaj ka humara bahut hi important and serious topic he Bank Account Kaise Khole Step By Step Procedure in Hindi. Aaj sabhi jagah banks branch open ho gayi hai. Kyon ki ek toh yaha apke paise safe rahte hai or dusra apko is paise par interest bhi milta hai. Kyon ki agar aap apna paisa fix rakhte hai toh bank iske liye apko bada acha interest offer karta hai. Pahle time tha jab apko bank account khulvane me itni dikkat aati thi par ab aap ishe apne ghar baithke bhi bade aaram se open kar sakte hai.


    Iske liye apke pas sare valid document available hone chayie bas apka account open ho jaega. Kuch bade banks jaise pnb or state bank india or bhi kafi bade bank jo apko online bank account open karne ki permission dete hai. Jisse agar aap thode bhi padhe likhe hai toh aap apne ghar baithke hi apna bank account open kar sakte hai. Bas apko iske liye in sabhi banks ki kuch official websites hoti hai. Jisme apko bank account ko open karne se related or sari process ki details mil jati hai.

    Apko sabhi forms ko fill karna hota hai or apka account open ho jata hai. Isse na toh apko yaha vaha ghumna padhta hai jisse apko koi preshani ho aap jab chay kisi bhi din apna account open kar sakte hai. Par iske liye apko sahi se knowledge honi chayie aap kaise is kaam ko kar sakte hai.

    Toh chaliye jante hai aap kaise apna account open kar sakte hai. iske liye apke pas kon kon se document jaruri hai kyon ki ye ek secure kaam hai toh isme apko apne sabhi valid document hi dene honge aajkal bank account ko open karne ke aadhar card jaruri ho gaya hai kyon ki ye ek valid id hoti hai kisi bhi indian person ki toh apke paas aadhar card bhi hona chayie. Toh bank account open kaise karte or iske liye konse document jaruri hai.


    Bank Account Kaise Khole - jaruri document



    1. Sabse pahle apke pas apne abi kuch din pahle hi click kari hui 2 passport size photo graphs honi chayie. Ye account ko open karne ke liye manadatory hai.

    2. Pancard


    Agar apke pas pancard available hai toh apko ishe document ne de dena chayie varna ye koi compulsory nahi par ab iske liye kuch rules banaye gaye hai jisme pancard bhi mandatory hai.
    1. Vaild address proof

    Apke pas valid address proof hona chayie jisse aap bank ko apna address bata sako. Dhayan rahe ye address bilkul sahi hona chayie. Isme aap apna voter id card ya aadhar card de sakte hai agar apke pas light ka bill hai toh vo bhi isme chal jaega.

    1. Identity proof


    Iske liye aap apna voter id card ya aadhar card de sakte hai ye apki identification ke liye jaruri hai. Toh apko iske liye account holder ka valid document dena hoga.

    Bank Account Kaise Khole Hindi Me

    1. Sabse pahle apko iske liye kisi bhi bank ki official website par visit karna hoga. Jaise agar apko sbi me bank account open karna hai toh iske liye apko sbi ki website par jana hoga iske liye apne mobile ya computer se type kare https://www.onlinesbi.com aise hi apko sabhi banks ki alag alag website mil jaegi iske liye aap google ka use kar sakte hai. Kyon ki sabhi banks me jyada tar process same hi hoti hai toh apko isme jyada dikkat nahi aaega agar aap ek bank me account open karna sikh lete hai toh fir kisi bhi bank me khud se bhi aap is kaam ko kar sakte hai.

    2. Chaliye hum example lete hai sbi ka isme aap kaise sabse pahle apko “apply sb account ” dikai dega apko is par click karna hoga. Yaha ab apko “for resident individual select kare” or ab apko aage kuch or new options aaege yaha apko “regular sbi account” par click karrni hogi.

    3. Ab yaha apko niche ek or option najar aaega. Yaha apko "apply now" par click karna hoga. Yaha click karne se apki aage mi process shuru ho jaegi.

    4. Ab apko kuch or option apke samne aa jaenge yaha se apko start new option najar aaega apko is par click karna hoga apke samne ek new page open ho jaega.

    5. Ab ye page jo apke samne open hoke aaya hai yaha apko apni sari personal details ko enter karna hoga. Iske liye apko niche kuch fields diye gaye jo apko dhayan se dekhne hai. 

    1. Customer type
    Yaha apko is par click karne par citizen, minor or public jaise kitne hi option najar aaege apko isme se public ko select karna hoga.

    1. Residential status
    Yaha bhi apko kitne sare option milege isme se individual select kare.

    1. Name
    Yaha apko apka jo bhi naam hai ya jiske liye account open kiya ja raha hai uska naam enter kare. Isme pahle apko mr, mrs ya miss select karna hoga.

    1. Last name

    Yaha apko apne naam me aane vale jaise verma sharma jo bhi hai vo enter karna hoga.

    1. Date of birth
    Yaha apko apni date of birth enter karni hogi ye jaisi apke document me mentioned hai same honi chayie.

    1. Gender

    Yaha apko apna gender select karna hoga yaha aap male, female or other ka option koi bhi choose kar sakte hai.

    1. Nationality

    Yaha apko isme indian ko select karna hoga kyon ki aap indian hai or india me account open kar rahe hai.

    1. Country name

    Yaha apko india enter karna hoga.

    1. Maiden name

    Agar hai toh naam enter kare

    1. Marital status

    Jo bhi apka status hai vo enter kare.

    1. Mother's name
    Yaha apko apna mother ka name enter karna hoga

    1. Father name 

    Yaha apko apne father ka name enter karna hoga.

    1. Guardian name

    Agar hai toh enter kare.

    1. City birth

    Jis city me birth hua hai uska naam enter kare.

    1. Country of birth

    Yaha apko apni country ka naam enter karna hoga jaha apka birth hua hai.

    1. Uid

    Yaha apko apna aadar card ka number dalna hoga. 


    17. Correspondance or local address

    Yaha apko apne address se related sabhi details enter karni hogi jaise apke samne pahla field aaega address type ka isme apko residential select karna hoga. Aap apke samne kitne sare option aate chale jaaege apko inhe apni details ke hisaab se fill karna hoga.


    18. Permanenet address


    Yaha apko apne permanent address enter karna hoga agar aap same hi place par rahte hai toh apka local or permanent address same hi hoga.


    19. Ab yaha apko proceed button ko press krna hai.


    20. Save the tcrn number


    Yaha apko no show hoga tcrn ishe kahi bhi notedown karle. Ye apke mobile no par received ho jaega

    Save and proceed karke aage badhe.


    21. Additional details


    Yaha apko apne religion or apne se judi hui kuch or details enter karni hogi.


    22. Details of related person


    Yaha related person ki details enter kare  


      23. Identification details

    Yaha apko apne id proofs ki detail ko enter karna hoga. 


    24. Account information section 

    Yaha apko agar atm card ya check book lena hai toh uske liye apply kare. Branch code or naam enter kare with tcrn number. 


    25. Service required

    Isme aap internet banking atm ya jo bhi service chahate hai activate kare.


    25. Nomination

    Yaha apna nomini select kare or uski details enter kare.


    26. Save and proceed par click kare or apna print nikal le ishe lekar bank me jaye or submit karde. Ab kuch din me apka account number aa jaega or apka atm apke address par aa jaega or iska pin aap bank se le sakte hai.


    In steps se aap badi aasani se account open kar sakte hai. Umeed he aapko Bank Account Kaise Khole - Step By Step Procedure in Hindi thik se smaj me aa gaya hoga.



    how to