Archived Mail Find Kaise Kare Gmail Par - What Is Archived Mail

Share:



    Archived Mail Find Kaise Kare Gmail Par


    Aaj ka hamara email se related topic he gmail par archived mail kaise find kare and What Is Archived Mail. Aaj sabhi smartphone ya computer toh use karte hai. kyon ki isse aap bade se bade kaam bhi apne ghar baith ke bade aaram se kar sakte hai. Isse aap badi aasani se kisi ko bhi data ko share kar sakte hai or iske liye agar hume kisi ko kuch bhi internet par bhejna hai toh aap ishe sidha apne gmail ke account se bhej dete hai. Kyon ki isse aap badi se badi file bhi apne mail me aatach karke send kar sakte hai. Aaj sari badi companies email service ka use karti hai jisse vo apne employees ko instructions bhi deti hai. Companies me bhi agar apko koi request karni hai toh apko iske liye mail dalni padegi.


    Aaj students bhi sabse jyada gmail hi use karte hai kyon ki apni sari files vo gmail se hi share karte hai. Par kabhi apke samne bhi ye problem aayi hogi jab hum kisi email ko padhte hai toh kabhi kabhi galti se hum kisi mail ko archive kar dete hai jisse vo hume show nahi hota. Phir apko bhi aise mails ko search karne me dikkat aati hog. par ishe search karna koi bada kaam nahi hai bas apko ishe search karne ke tricks ka pata hona chayie jisse aap apne archive mails ko vapas apne inbox me paa sakte hai.

    Kyon ki archive mails apke account se delete nahi hote ye rahte toh apke account me hi hai bas apko najar nahi aayenge. Par apne mails ko kaise vapas laye and archived mail kaise find kare. Isse pahle apko pata hona chahiye kya hote hai archive mails or kyu karte hai mails ko archive.

    What is archived mail


    Apne ye option jab aap apne mail par click karte ho tab apne dekha hoga. Jaise hi aap is option ko select kar loge toh ye mail apke samne se gayb ho jate hai phir apko inhe search karne me kafi problem aati hogi. Ye apke account se delete nahi hote. agar aap kisi bhi mail ko delete nahi karna chahate. Apne inbox ko bhi clear rakhna chahate hai toh iske liye mails ko archive kiya jata hai. Isse apke mails safe rahte hai. Jab bhi apko inki jarurat pade aap inhe vapas pa sakte hai apne inbox me. Toh chaliye jante hai kyo kiya jata hai mails ko archive.

    Mails ko archive kyo karte hai


    Aaj sabhi apni mail id ko kitni jagah registor karke rakhte hai. isse apka inbox humesha ful rahta hai kyon ki kya pata din me apko kitne mail aajate hai. Isse jab bhi hume kisi mail ki jarurat padti hai toh hume use dhundne me itna time lag jata hai aur kabhi kabhi vo milta bhi nahi. kyon ki inbox me itne mails pade hote hai. Jaruri nahi hota apke mail ka subject yaad bhi ho. Toh isliye baki mails ko aap delete kar dete ho jo apke kaam ke nahi hote aur vo mails jo apko lagta hai kabhi future me iski need ho sakti hai.

    Aaj apke inbox ke liye jaruri nahi toh aap inhe archive kar sakte hai. Isse ek toh ye delete nahi honge aur apka inbox me bhi show nahi honge. Isse apke inbox me apke important mails hi rahege. Jab bhi apko is mail ki jarurat pade aap inhe vapas apne inbox me la sakte hai. Iske liye bhi apko koi jada bada kaam nahi karna hoga bas apko iski tricks ka pata hona chayie aap ye kaam badi aasani se kar sakte hai. Toh chaliye jante hai archive kiye hue emails ko vapas kasie laye.

    Archived Mail Kaise Find Kare


    Iske liye apko jyada knowledge hone ki jarurat nahi hai bas apko kuch simple se steps ko follow karna hoga. Aap apne gmail account se kiye gaye sabhi archive mails ko vapas apne inbox me la sakte hai. Iske liye niche diye gaye steps ko follow kare.


    1. Sabse pahle apko apne device se gmail ki website par jana hoga. Iske liye apne browser me gmail likh ke serach kare. Apke samne gmail ka link aa jaega. Yaha se apko is link par click karna hai. Aap gmail ki website me enter ho jaoge.

    2. Ab apko sabse pahle yaha sign-in ka option najar aaega. Yaha apko sabse pahle apna username enter karna hoga and enter press kare. Ab apke samne ek new page open hoke aaega yaha apko apne is username se link password enter karna hai. Fir sign in par click kare. Gmail par apka account open ho jaega. Ab aap archive mails kayi tariko se search kar sakte hai jo kuch niche diye gaye hai.

    Sender apko dobara mail kare


    Agar apne kisi mail ko archive kar liya hai. agar apko us mail ko bhejne vala sender phir se mail karde. Matlab apko jisne vo mail send kiya tha vo apko usi mail me repl karde toh apka archive mail apke inbox me vapas aa jaega.


    Search box me mail ko search kare


    Archive mails kabhi bhi apke account se delete nahi hote bas ve apke inbox se hat jate hai. toh apko apne account me search box me jana hai. Yaha apko us mail ka subject type karna hoga agar apke kuch related bhi yaar hai toh aap ishe bhi type karke search kar sakte hai. Isse apko related sabhi emails mil jaenge. Ab bas apko dekhna hai jo email apko mile hai unme se apne jo mail search kiya hai vo hai ya nahi. Ab ab is mail se jo apko karna hai kar sakte hai.


    Labels me check kare


    Iske liye apko labels me sabhi option ko check karna hoga yaha aap dekh sakte hai jish mail ki apko jarurat hai vo isme hai ya nahi.


    All mails


    Agar apko apna mail kahi nahi mila toh apko finally is option ka use karna hoga. Kyon ki agar koi bhi mail apke account me pada hai toh vo apko yaha jarur milega. Kyon ki ye apke aaye hue sabhi mails ka record hoga yaha apko koi bhi mail agar apke account se delete nahi hua hai toh apko mil jaega. Bas apko dekhna hoga sare mails ko check karke isme thoda time jarur lgega par apka mail apko jarur mil jaega.

    Toh friends kaisa laga apko aaj ka ye article archived mail kaise find kare. Upar di gayi sabhi tricks ko apko use karna hoga isse aap badi aasani se apne archive mails ko find kar sakte hai. bas apko ek ek karke sabhi tricks ache se apply karna hoga or apka mail apke pas hoga.

    how to