Animated Video Kaise Banaye - Cartoon Video Banane Ke Tips

Share:



    Animated Video Kaise Banaye

    Animated Video Kaise Banaye
    Animated Video Kaise Banaye

    Aaj sabhi ko youtube par apni videos ko upload karne ka craze chada hua hai. Isme aap tarah tarah ki videos ko bana ke upload karte rahte hai. Inhi videos kuch videos apne dekhi hogi jo animated hoti hai. Isi par adharit hamara aaj ka ye article he Animated Video Kaise Banaye? Cartoon videos ko aaj sabhi bachche or bade bhi pasand karte hai. Aaj ye ek acha business ban chukka hai. Apne kitni hi cartoon movies dekhi hogi jo kafi famous rahi hai. Aaj animated movies bas koi profession experts hi nahi banate ab ye kaam bada aasan ho chala. Market me aaj aise tools available ho chuke hai jinhe use karke aap bhi apni khud ki animated ya cartoon videos ko bana sakte hai. Ye tools paid bhi hote hai or unpaid bhi.

    Aaj kal aise bahut se log hai jo ye animated videos banate hai. Jinse sayd vo aaj bade paise bhi kama rahe hai. Aap bhi in animated videos ko bana paege bas apko in tools ka pata hona chayie inme kaise kaam karna hai or iske liye apko kisi technical knowledge ka bhi hona koi jaruri nahi hai. Ye ab bas experts ka hi kaam nahi rah gaya hai aap bhi apne ghar baith ke in videos ko bana paege or ap agar apni videos ki story achi rakhege toh users ishe pasand bhi karege. Iske liye apko jyada mahnat karne ki jarurat nahi padegi niche kuch tools ke bare me bataya gaya hai jishe use karke ap animated ya cartoon videos ko bana sakte hai iske liye in websites me pahle se template design hote hai toh chaliye jante hai kaise kaam karte hai ye tools.

    Animated Video Kaise Banaye

    Aaj market me apko kafi sare animated videos banana ke tools mil jaege. Inke sath kaam karna kafi aasan hai kyoki ye pahle se hi sab kuch design karke rakhte hai. Apko bas apne hisab se apne cartoon ki structure ko pasand karna padta hai. Apko job hi kuch apni videos me chayie vo sara description in websites me enter karna hoga baki sara kaam ye khud kar dete hai. Ye servces paid hoti hai. Iske liye ye companies apse kuch charges leti hai ya discounts ya offers websites ke terms and conditions par hota hai.


     Kaise kaam karte hai ye tools


    Agar apko koi cartoon design karna hai toh apke ye details websites ko deni hogi.
    1. Apko uski height batani hogi. Apko apne cartoon ki height kitni chayie.

    2. Isme apko apne cartoon ka decide karna hoga apko iska colour kaisa chayie.

    3. Apko apne cartoon ke baal (hairs) jaise bhi chayie lambhe, chote ap select kar sakte hai.

    4. Yaha apko apne cartoon ke face ko select karna hai apko makeup vagera kaisa chayie apko batana hoga.

    5. Apko apne catoon ka figure batana hoga. Apko ye mota chayie ya patla.

    6. Apne cartoon ki dresses bhi select karni hogi yaha apko jaisi bhi dress achi lagti hai ap description de sakte hai.

    7. Apne cartoon ki aawaj apko batani hogi, vo jab bole kaise bole.

    8. Apko jaisa bhi cartoon chayie apke uske hath, per, eys jaise chay vaise bana sakte hai. Bas apko iski sahi details enter karni hogi bas apka kaam ho jaega.
    Aisi kuch websites hai jo apko ye service online provide karti hai toh chaliye jante hai konse hai ve tools jisne apke kaam ko itna aasan bana diya hai.

    Animated video banane liye online tools


    Agar aap soch rahe he ki Animated Video Kaise Banaye aur cartoon videos ko banane ke liye software download karne padte he. Toh aapki jankari ke liye bata de ki aap online bhi video editing kar sakte he. Toh chaliye jane Animated Video Kaise Banaye online tools ka istemaal karke. Kaun kaun se online tools available he?
    1. Goanimate

    Ye website cartoon banane ki sabse best website hai or bahut popular bhi hai. Ye website paid hai is par apko apni cartoon videos banane ke liye charges dene padege. Agar koi discount available hai toh iska pata apko website se chal jaega. Is website ko use karke ap high definitions video bana sakte hai. Is website se ap bade aaram se koi bhi animated video create kar sakte hai. Bas apko apni jarurat ke hisab se details deni hongi.
    1. Wideo

    Ye website bhi apko cartoon video banana ke liye service provide karti hai. Yaha par apko sabhi templates bani hui milegi bas apko inme se select karni hai or apne hisab se apni animation design karni hai. Ye website apko kuch free trial video available kara deti jisse ap apni banayi hui video ki quality or use related sabhi kuch dek sakte hai. Agar apko thodi badi length ki video ko banana hai toh iske liye apko website ko kuch charges pay karne hoge. Fir apni jaisi chay vaisi video create kar sakte hai.
    1. Powtoon

    Is website ko use karke ap apni animated video create kar sakte ho. Iske liye apko bas is par apko signup karne ki need hai. Isse ap apne studies se related videos ko bana sakte hai. Isse ap apne videos me best features add kar sakte ho. Iski website par apko sign up karne se offer mil jaege jisse apki video apke budget me hi ban jaegi. Aap is websites se job hi video banaoge apko us par is website ka trademark bhi show hoga, ki apne is website ko use karke video ko create kiya hai.
    1. Animaker

    Is website ko use karke ap apni cartoon video me jo chay vo effect use kar sakte ho isse apki video me job hi show hoga use ap attractive bana sakte ho. Is website se ap apni video ke liye suggestions paa sakte ho ki apko isme kya changes karne chayie kya ni vo sab ap is website se badi aasani se kar sakte ho. Iske liye apko is website par login karna hoga or iski prime member ship ko buy karna hoga. Iske baa dap is website ki sari services ko apne package ki terms and conditions ke hisab se use kar sakte ho.
    1. Explee

    Apko kuch websites free trails bhi provide karti jisse ap dekh sakte hai. Aap jab apni video inse bana rahe hai toh vo kaisi lagegi or apko pahle hi is baat se pata lag jata hai apke use kiye huse animations ache hai ya nahi. Apke banaye hue cartoon ka look kaisa hai or unki structure attractive hai ya nahi apko pahle hi pata lag jata hai. Ye tool use karne me bahut hi simple hai. Agar ap is website se apki video achi banti hai to hai toh ap iski membership le sakte hai.

    Umeed kate he ki apko Animated Video Kaise Banaye ka basic knowledge toh clear ho hi gaya honga. Isse alag bhi apko market me bahut se tool mil jayenge. Jaise voki isse bhi aap apni animated ya cartoon video bana sakte hai. Upar batayi gayi kisi bhi website ki service ko use karke ap apni khud ki animated ya cartoon video ko create kar sakte hai or in videos ko ap youtube par upload karke achi income bhi kar sakte hai.
    how to