Android Ki Detail Jankari |
Android Ki Detail Jankari
Aaj smartphone, watches, T. V, laptops sabhi ke pas apko dekhne me mil jaenge. Kyon ki in sab ne users ka kaam bada aasan kar diya hai. Tab inhe use karna or bhi easy ho gaya jab se android bana hai. Isse users ki jindgi badi hi high-tech ho gayi hai. Aaj smartphone me sabse jada android operating system ka use kiya jar aha hai. Kyon ki ek toh ishe use karna bada hi easy hai. Dusra iske functions or features itne jada hai ki ishe users kafi pasand bhi kar rahe hai. Toh aaj hum android ki detail jankari ke bare me padhenge.
Android kya hai
Android ko google ne develop kiya hai. Shayad aaj google sabse jyada apni kamai android se hi kar raha hai. Kyon ki aaj agar apke smartphone hai toh aap jyada tar sabhi android ko hi prefer karte hai. Kyon ki ye duniya ka ek toh sabse jada user friendly o. S hai. Android ek open source platform hai. Agar apko kuch java technology ki knowledge hai toh aap apna khud ka android o. S bana sakte hai par iske liye apko thoda high level par jana padega.
Android ek linux based operating system hai jise sabse pahle touch screen mobile ke liye hi banaya gaya tha. Kyon ki android operating system ki help se aap screen se hi pure mobile ko control kar sakte hai.
Isse aap apni screen se hi pinch karke kisi bhi function ko use kar sakte hai. Isse alag bhi aap bade aaram se chezo ko drag or drop android operating system me kar sakte hai. Android 2003 me duniya me aaya tha toh chaliye jante hai abi tak android ke kon konse versions aap dekh chuke hai. Abi tak latest upgrade konsa apko use karne ke liye mil raha hai. Android ki detail jankari me humara agla topic he history of android.
History of android
Android sabse pahle 2003 me california me develop hua tha us time tak ishe bas special or smart cameras ke liye use kiya jata tha. Isse digital cameras ko better banane kiye unke andar android operating system dala jata tha. Google vaise bhi duniya ki ek bahut badi mnc company hai. Iske liye google ne 2005 me android ko kharid liya or khud ke mobiles ko android operating system ke sath launch kiya.
Iske liye google engineers ne kafi mahnat ki or 2007 me google apna pahla android operating system se less phone market me leke aaya. Jo users ko itna pasand aaya ki sabhi aaj android operating system se alag kuch or use karna itna chahate hi nahi. Toh chaliye jante hai android ke ab tak ke kon konse versions apke samne aa chuke hai.
Android versions / types
Abi tak android 14 versions release kar chuka hai. Jo kafi famous bhi rahe hai. Duniya ka sabse user friendly operation system aaj android ban chuka hai. toh chaliye dekhte he android ki detail jankari me Android versions.
- Android 1.0
Ishe sabse pahle alpha ke naam se jana gaya. Ye pahla android operating system tha par ye normal operating system ke jaise hi behave karta tha.
Android 2.0
Ye google ne market me apne pahle o. S ke baad dusra "beta" android operating system launch kiya jo pahle o. S se kuch hi bahtar tha par ye bhi ek common operating system ki tarah work karta tha.
Android 1.5
Ye google ka pahla user friendly operating system tha, jishe google ne "cupcake" naam diya. Is version ko users ne kafi pasand kiya.
Android 1.6
Ye android 1. 5 ke baad google ne launch kiya jishe naam diya gaya "donut". Kyon ki donut ek khane ka saman hai. Google ne android ke sabhi version ko khane ke naam se market me launch kiya hai. Ye cupcake se kafi better tha or ise logo ne khub pasand kiya.
Android 2.1
Apne pahle versions ke continue market me ache response ke baad google ne apne android operating system se kamiyo ko dur karke ek or new version every year launch kiya ishe naam diya gaye "eclair".
Android 2.2
Market me ache response ke baad sabhi users ke liye or updated version ke sath google ne launch kiya "froyo" is version ke kafi mobile logo ne use kiya. Jo bhi facility isne users ko provide ki vo bahut pasand ki gayi par kamiya isme bhi thi jo thoda use karne par logo ke samne aayi. Isme changes ke liye requst ki gayi.
Android 2.3
Is version ko google ne naam diya "ginger bread" ye users ko kafi had tak pasand aaya.
Android 3.1
Ishe fr market me leke aaya google apne kamiyo ko dur karne ke liye ishe naam diya gaya "honeycomb".
Android 4.0
Yaha se google ka safar kafi acha hota chala gaya kyon ki ishe kafi sari mobile companies bhi apne mobile ko google android operating system ke sath market me layi. Is version ko naam diya "ice cream sandwich".
Android 4.1
Is version ka naam tha "Jellybean" ye version logo ko kafi pasand aaya jo shayad apne bhi use kiya ho.
Android 4.4
Ye version google ne sabi update ke sath diya jiske mobile aaj bhi aap use kar rahe hai. Iska naam tah "kitkat".
Android 5.0
Is version ko google ne naam diya lollipop. Ye kafi acha raha par kuch kmai ke karan jada nahi use hua.
Android 6.0
Android 6.0 yani "Marshmallow" Ye version apko aaj aane vale sabhi phone me najar aaega kyon ki ye ek toh kafi attractive hai. Dusra ishe use karna bhi kafi aasan hai isme ek toh apka operating system kafi better performance deta najar aaega. Dusra ye apko technology ke up to date rakega. Isme google ne kafi function aad kiye. Jisse user satisfied rahe.
Android 7.0
Ye version abi sabhi mobile me dekhne ko nahi milega abi kuch hi mobile apko "Nougat" par chalte najar aaege is version ki ek sabse badi khas bat yah hai ki aap isme apni screen ko 2 part me divide kar paenge or koi bhi 2 app aap isme ek sath use kar paenge
Ye abi tak ka google android operating system ka latest version hai. Abi tak isse upgrade google ne koi bhi update nahi di hai. Abi bhi kuch hi aise mobile hai jo is version ke sath merket me aa rahe hai.
Google playstore
Agar aap android use karte hai toh apko android ki detail jankari jarur honi chayie. Kyon ki bina playstore ke aap android operating system me use hone vali sabhi apps ko install kar paenge or jab bhi un app ko update karne ki jarurat padegi aap update bhi kar paenge.
Android duniya me sabse jada use hone vala operating system hai kyon ki ye user ko sabse jada comfortable lagta hai jab ise users use karte hai.