Wannacry Virus Computer Se Kaise Nikale |
Aaj ka humara topic he Wannacry Virus Computer Se Kaise Nikale. Ransomeware virus ye naam aaj sabhi ke juban par he. Computer aaj sabhi use karte hai. Iske sath hi isme virus aane ke chance bhi kafi jada badh jate hai. Kyon ki email ya koi bhi file aap computer me agar download karoge toh id bat ki koi gurantee nahi hoti jo file apne download ki hai usme virus hai ya nahi. Aise users bahut kam hi hote hai jo kisi bhi file ko download karne se pahle ushe scan kare.
Wannacry Virus Computer Se Kaise Nikale
Aaj duniya me sabse jada dangerous virus jisne abhi 100 se bhi jada countries ko effect kiya tha. Ye duniya ka sabse bada virus attack tha jisne computer ki duniya me sabko apni privacy ke bare me sochne par majboor kar diya tha. Ye virus hai wanacry ransomeware virus. Jaise ki iske naam me ramsome aata hai toh is virus ko mainly ransome ke liyr hi use kiya jata hai.
Is virus se apne system ko bachna jyada muskil bhi nahi hai bas iske liye ko apko thodi savdhani dikhani padegi. Isse pahle apko pata hona chayie agar apke computer system me koi virus hai toh ushe pata kaise kare. Ransomeware ko apne system me kaise pahchane or agar ye apko mil jata hai toh fir ishe apne system me se remove kaise kare iske liye niche diye gaye steps ko follow kare.
Ransomeware virus ka apne system me pata kaise kare
Iske liye apko khud se kuch bhi karne ki jarurat nahi hai ye 2 type ka hota hai. Isme se pahla agar apke system me hai toh ye apke system ki sabhi file ko lock kar dega. Aur apko apke system ki kisi bhi file ko access nahi karne dega. Isse aap kisi bhi file ya folder ko click karoge toh apke samne ek page open hoke aaega. Jis par likha hoga apka device locked hai or iske liye apse ek key ki demand karega. Iske bad apke samne ek payment ka option aayega. Agar aap ye payment kar doge toh apko mesage ke through hi ek key mil jaegi jisse aap apna device unlock kar sakte ho. Par ye is bat ko sure nahi karta apka computer virus free hai ya nahi.
Dusra virus hai jisme apka data choti ho sakta hai. Ye apke data ko kahi bhi bina apki permission ke send kar sakta hai. Is type ke virus ko kisi ko bhi blackmail ya kisi bhi financial jaankari ko pata karne ke liye kiya jata hai. Iske bad hacker apko nukshan phuchane ki puri kosis karta hai. Par isse bachna aasan hai. Isse bachne ke niche ke part ko pura padhe.
Wannacry Virus se kaise bache
1. Iske liye aap window 10 ko use kar sakte ho kyon ki ransomeware ne sabse jyada windows ko target kiya hai. Par isme jiske bhi system me windows 10 ka updated version installed tha uske system ko ye virus koi bhi effect nahi kar paya hai kyon ki mircosoft ka ye version security ke mamle me bada hi bahtar hai or ye is bat se prove bhi ho gaya hai.
2. Malware website ko open na kare
Kisi bhi malware website ko open na kare. Kyoki iski vagah se apke system me virus aane ke chances jyada ho jate hai. Kyoki kitni bar hota kya hai agar apko koi movies ya software apne system me download karna hai to hai to apko kitne hi sare links mil jate hai. Jinhe aap open kar lete ho iske bad kisi bhi external file me include hoke virus apke system me enter kar sakta hai. Toh isse bachne ke liye apko bas trusted websites se hi contents ko download karna chayie.
3. Extenal devices se bache
Extenal devices se apke system me koi bhi badi aasani se virus ko bhej sakta hai. Kyoki agar koi bhi apse bole ki ye file is pendrive me dal do ya kisi or purpose ke liye apko device insert karne ke liye bole toh sabse pahle apko us device ko apne system me install antivirus se ushe sacn kare. Iska fayda ye hota hai. Agar usme koi virus hai toh apka system is virus se safe rahega or apke system ko koi loss bhi nahi hoga.
4. Spam Emails se bache
Spam email virus ka hub ban chuke hai kyoki apne kaam ko karne ke liye gmail sabhi access karte hai. Is liye kisi ke liye bhi apko koi. Exe file bhejna bada aasan kaam hai. Toh kisi bhi email ko bina scan kiye open na kare or agar apko kisi bhi mail me file dikhti hai toh ushe bilkul bhi open na kare isme virus ho sakta hai.
Agar apka system virus Ransomeware se affected ho gaya hai toh ishe apne system se delete karne ke 2 bade aasan tarike hai. Ye apko niche diye gaye hai isme se aap koi bhi follow kar sakte ho.
Wannacry Virus Computer Se Kaise Nikale
Iske liye aap microsoft ki website par jake yaha check kar sakte hai abhi microsoft ne 10 ransomeware virus ke type apni website par update kiye hai yaha se aap jake check kar sakte ho ki isme se koi apke system me hai ya nahi.
Antivirus se scan kar Wannacry Virus Computer Se Kaise Nikale
1. Sabse pahle aap apne system ko antivirus ko scan kare. Iske bad apke samne jo bhi virus aaege isme se check kare jo list microsoft ne list update ki hai usme se koi hai ya nahi isme. Agar hai toh ishe yaha se scan karke delete kare. Iske bad apka system virus free ho jaege.
2. Iske bad aap apne pure system ko scan kare or apke samne jitne bhi virus aaye sabhi ko delete kar de isse apki system ki speed bhi jaegi or ransomeware apke system se puri se remove ho jaega. Isse alag bhi aap apne backup se sara delete karke bhi apne system ko is virus se safe rakh sakte hai.
System Reset Karke Wannacry Virus Computer Se Kaise Nikale
Ye option aap tabhi use kare agar apke pas apne sabhi data ka backup hai. Agar aisa nahi hai to hap is option ko use na kare varna apka sara data loss ho jaega isse apko kafi problem ka samna kar padh sakta hai. Ab bas apko apne system se sare data ko delete karna hai iske sath hi apke system me job hi virus hai. Vo bhi delete ho jaega.
Iske bad aap apne system me sare data ko backup kar sakte ho. Par iske liye is baat ka dhayan rakhe ki data backup apko compulsory karna hai. Aise aap apne system ko bade aaram se virus free bana sakte hai.
Ransomeware apke system me jyada tar internet or mail ya external device se aata hai. Toh sabhi device ko bade dhyan se apne device me insert kare. Isse apka computer system same safe rahega.
Umeed he aap log Wannacry Virus Computer Se Kaise Nikale samajh gaye he. Ransomeware ek bada hi danger virus hai. Toh iske liye apne system me acha antivirus install kare or apne system ko safe rakhe. Upar diye gaye sabhi steps ko dhayan se follow kare.