Tablet PC Ki Jankari aur Tablet PC Ke Types - Kaise Istemaal Kare

Share:




    Tablet PC Ki Jankari aur Tablet PC Ke Types
    Tablet PC Ki Jankari aur Tablet PC Ke Types

    Aaj humara interesting topic he tablet pc ki jankari aur tablet pc ke types and kaise istemaal kare. Aaj sabhi computer toh use karte hi hai. Par sab jagah aap apna computer ye pc leke jaye aisa possible nahi ho sakta. Par aaj kal market me aapko tablet pc iska alternate mil jaega.


    Tablet PC Ki Jankari


    Tablet pc ek bahut hi chota sa device he. Jisme aap computer ke jaise sabhi kaam bade aaram se kar sakte hai. Kyon ki tablet bade hi chote size ki hoti hai. Ise aap bade aaram se apne hand me bhi carry kar sakte hai. Agar apko kisi ko mail karna hai ya bahut hi aisi websites hoti hai jo laptop ya pc me hi support karti hai. Aap badi aasani se tablet ka use karke kisi bhi website ko open kar sakte hai.

    Tablet ek touch screen device hota hai. Isme apko jo bhi kaam karna hai iske liye bas apko screen ko touch karna hoga or apke sabhi function screen se hi control ho jaenge. Agar aap chay toh keyborad bhi laga sakte hai par ye aap par depend karta hai. Isme apko kafi memory bhi mil jati hai. Matlab agar apko computer ki jagah table ko use karna hai toh ye apko ek professional look toh dega hi sath hi apke computer me hone vale sabhi kaam ko bhi badi aasani se kar dega.

    Tablet apko kitne hi type ki market me mil jaegi. Par iske liye apko pata hona chayie konsi tablet apke liye sahi hai. Kyon ki inki cost computer se jada bhi hoti hai. Kam bhi hoti hai bas iska fayda ye hota hai ye computer se bahut hi kam space leti hai. Jiski vagah se ishe aaj bahut jada use kiya jane laga hai. Toh chayie jante hai kaise aap ishe apne fayde ke liye use kar sakte hai or ye kitne type ki apko mil jaegi. Tablet pc ki jankari padhte hue ab hum janenge tablet pc ke types ke baare me janenge.

    Tablet PC ke types


    Aaj market me apko lagbhag 4 types ke tablet pc mil jaenge. Kyon ki ek toh ye bahut hi jada user friendly hai or dusra inhe use karna computer se bhi jada aasan hai. Toh chayie jante hai tablet pc ke types or ye ek dusre se kaise alag hai.



    1. Hybrid Tablet PC


    Ye ek technology ki sabhi latest invention hai kyon ki ye apke liye bahut hi useful hai. Ishe aap 2 tariko se use kar sakte hai. Agar apko ishe computer ke jaise use karna hai toh isme apko keyboard attach milega toh keyborad se kuch bhi type karke isse apna kaam kar sakte hai. Par agar apko keyboard ki jarurat nahi hai toh aap ishe hata sakte hai. Kyon ki ye badi aasani se apki tablet ki screen se alag ho jaega.

    Aap iski touch screen ko use karke virtual keyboard se apne sabhi kaam ko kar sakte hai. Iske styelish feature ise or bhi attractive bana dete hai isme agar apko kuch bhi write karna hai toh aap isme stylus pen ka bhi use kar sakte hai. Matlab ye apke liye ek notebook ke jaise bhi behave karega. Apne chote se size ki vagah se ye or bhi jada khas ho jata hai. Jiski vagah se ye user ke beech aaj demand bana hua hai kyon ki ye apke liye dono experience lata hai ek laptop ka bhi or ek tablet ka bhi.

    1. Convertible Tablet PC

    Apne dekha hoga kitne hi log apko aise mil jaenge jinhe aaj bhi keyboard se hi work karna pasand hai. Kyon ki jo piche kafi time se keyborad par work kar rahe hai unke liye ek dam touch screen se familiar hona thoda muskil hai. Par aaj kabhi kabhi apko jab tablets use karni padti hai toh ye apke liye thodi problem vala kaam ho sakta hai. Par apko iske liye preshan hone ki jarurat nahi. Apko bas ek convertible tablet pc ko apne ghar lana hoga.

    Ise aap bilkul laptop ke jaise use kar sakte hai. Bas farak ye hoga isme apko keyboard ke sath sath touch screen bhi milegi. Ye apko baki sabhi tablets se jab aap compare karoge toh iska weight apko thoda jada najar aaega. Par ye use karne me kafi achi toh hai hi isly user ishe aai kafi pasand bhi kar rahe hai kyon ki isme apko double functionality mil rahi hai.

    Aap jaise chay ishe use kar sakte hai ishe aap bade aaram se agar apko keyboard chayie toh ushe attach kar sakte hai. Agar apko iski jarurat nahi hai toh aap ishe hata bhi sakte hai yahi reason hai jo users ke beech ye itni famous hai toh agar apko aisi technology pasand hai toh ye tablet apke liye best hai.

    1. Slate Tablet PC

    In tablets ko bahut se bato ko dhayan me rakh kar banaya gaya hai. Ye technology ki ek bemisaal peshkash hai. Bahut hi jada light weight tablets hai jinhe apne sath carry karna bahut hi aasan hai. Isliye inhe travel karne ke idle tablets bhi mana jata hai. Kyon ki inka weight hi itna kam hai apko pata bhi nahi chalega aap apne sath ek pura computer utha kar chal rahe hai. Ye tablets kafi jada powerful hai.

    Slate tablet pc ki jankari apko kafi strong operating system mil jata hai. Jisse aap kitna bhi load in tablets par dal sakte hai. Ye apko kaam bade ache se karne me capable hai. Inhe connect karne ke liye apko bas apni choti finger tap karna hota hai. Aap badi aasani se inhe kisi bhi or device se connect kar sakte hai. Ye user ko ek bahut hi easy interface deti hai jisse inhe use karna sabhi ke liye bahut hi aasan ho jata hai.

    Isme apko kafi sare slots mil jate hai. Jishe aap usb connect karne ke liya ya apko agar keyboard ki requirement hai toh aap isme slot ko use karke keyboard bhi aatach kar sakte hai. Iski sabse badi quality ye hai aap ishe projector ko bhi control kar sakte hai jisse aap ek badi achi presentation de sakte hai. In sabhi features ki vagah se users ke dil me jagah bana leti hai.

    1. Rugged Tablet PC


    Ye tablet ek bahut hi jada majbut ya hard tablet hai jishe aap kahi bhi use kar sakte hai. Kyon ki iski structure bahut hi strong banayi gayi hai jiski vagah se agar koi accident bhi hota hai toh ye tablet vaha bhi survive kar sakti hai. Ishi vagah se aaj iski demand badhi hui hai. Ishi vagah se ye thodi bulky bhi hoti hai nature me. Agar aap research ya koi bhi natural field me work karte hai toh apke liye ye tablet best hai.

    Umeed he ki apko tablet pc ki jankari aur tablet pc ke types saath hi unhe kaise istemaal kare samajh me aa gaye honge. 


    how to