Sharir Ki Garmi Kaise Kam Kare |
Sharir Ki Garmi Kaise Kam Kare
Hello dosto, kaise ho aap log? Ummid karte hain acche hi honge. Aaj ke humare iss post ka title hain Sharir ki garmi kaise kam kare. Iss post ko acchi tarah se padhne ke baad aap logo ko aur kisi tips ki zarurat nahi padegi apne sharir ki garmi ko kam karne ke liye. Kyun ki tab aap log khud aur badi asani se apne sharir ki garmi ko kam karke har mausam ko enjoy kar payenge.
Sharir ki garmi kaise kam kare - tips
Junk food aur fast food ka sewan na kare
Agar aap logo ke sharir main bahut jada garmi hain toh aap log junk food ya fast food ka sewan ekdam na kare. Kyun ki ayese foods main kafi jada oil ki matra hoti hain. Jisse sharir main garmi ki matra badh jati hain. Isiliye jo log sharir ki garmi se pareshaan hain aur sharir ki garmi ko kam karna chahte hain, unn logo ko hum yahi salah denge ki aap log junk food ya fast food ka sewan na kiya kare.
Sharab etc ke sewan se dur rahe
Sharab etc ke sewan se bhi sharir main garmi failta hain. Jiske wajah se hume pareshaani ka samna karna padta hain. Isiliye aap log sharab ka sewan ekdam na kare. Jin logo ko sharab pine ki adat hain, unn logo ke liye iss adat ko chhodna thoda pareshaani se bhara ho sakta hain.
Shakahari bhojan kare
Dosto, mansahari bhojan main kafi matra main garmi hoti hain. Jo sardi ke mausam main toh humare sharir ko jada effected nahi karti hain lekin garmi ke mausam main humare liye kafi pareshaani ka karan ban jati hain. Jin logo ko garmi jada hain, unn logo ke liye mansahari bhojan aur jada pareshaani ka karan ban jati hain. Isiliye aap logo ko iss kshetra main hum yahi salah denge ki aap log shakahari bhojan hi kare.
Hala ki jin logo ko mansahari bhojan karne ki adat hain unn logo ke liye shakahari bhojan karna thoda mushkil ho sakta hain. Lekin agar woh apni iss adat ko tyag sake toh unko apni pareshaani se kafi hadd tak nizad mil sakti hain. Lekin hum yeh bhi bilkul nahi kah rahe hain ki woh log mansahari bhojan kare hi na. Balki hum toh yeh kahna chahte hain woh kabhi kabhi mansahari bhojan kar liya kare lekin jada se jada matra main shakahari bhojan hi kare.
Thande pani ka istemaal kare
Aap log ek balti thanda pani le liye aur uss pani main 10 minutee tak apne pairo ko daal kar rakhiye. Ayesa karne se aapke sharir ki garmi turant shant ho jayegi.
Khaskhas ka sewan kare
Dosto, khaskhas ka sewan karne se bhi humare sharir ki garmi shant rahti hain. Sharir ka tapman normal banaye rakhna ke liye raat ko sone se pahle mutthi bhar khaskhas ka sewan kare. Lekin baccho ko khaskhas ke sewan se dur rakhe aur aap log bhi badi matra main khaskhas ka sewan na kare. Nahi toh fayeda hone ke bajay nuksan hi ho jayega. Isiliye iss baat ka khas taur par dhyan rakhe.
Methi dana
Dosto, kya aap logo ko yeh baat pata hain ki bahut sare guno se bharpur methi dana sharir ki garmi ko kam karne ke liye bhi fayede mand hota hain? Ji ha dosto, agar aap logo ki sharir main bahut garmi hain aur aap log apne sharir ki garmi ko kam karna chahte hain toh aap logo ke liye methi dana ek bahut bahut hi useful cheez hain. Aap log roj ek chammaach methi dane ka sewan kariye. Ayesa karne se aap logo ko kafi fayeda hoga aur aap logo ki sharir ki garmi control main rahegi.
Thande dudh ka sewan kare
Thande dudh ka sewan karne se bhi humare sharir ki garmi control main rahti hain. Aap log rojana dudh ka sewan toh karte hi honge, toh aapko ab bas uss dudh ko thanda karke pina hain. Behtar parinam ke liye aap log uss dudh main ek chammaach sahad mila sakte hain.
Chandan ka lep
Chandan ka lep lagane se bhi humare sharir ki garmi niyantran main rahti hain. Aap logo ko iske liye jada kuchh karne ki zarurat nahi hain. Bas thande pani ya thane dudh main thoda sa chandan milaye. Aur ab iss lep ko apne mathe aur chhati main acchi tarah se lagaiye. Behtar parinam pane ke liye aap log uss lep main kuchh bund gulab jal daal de, aur fir uss lep ko apne mathe aur chhati main lagaiye. Iss upay ko karne se aapke sharir ki garmi turant shant ho jayegi.
Vitamin C yukt ahar ka sewan kare
Jin cheezo main vitaminC ki matra acchi hoti hain unn main sharir ki garmi ko kar karne ka kshamta hota hain. Aap log bhi vitaminC se bharpur cheezo ka sewan kare. Jaise nimbu, narangi etc. Iss cheezo ke sewan se aapke sharir ki garmi shant rahegi aur aapko koi pareshaani nahi hogi.
Chhachh piye
Garmiyo ke mausam main chhachh pine se hume kafi fayeda hota hain aur humare sharir ki garmi control main rahti hain. Chhachh main zaruri probiotics, khaniz aur vitamin hote hain. Jo humare sharir ki urja pradan karne ke sath sath body ko thanda rakhne main kafi helpful hote hain. Isiliye aap logo ko garmi ke mausam main chhachh ka sewan zarur karna chahiye.
Nariyal pani
Sharir ki garmi ko shant karke sharir ki thanda rakhne ke liye nariyal ka pani bahut fayede-mand aur prabhav-shali hota hain. Yeh swabhavik roop se humare sharir ke tapman ko santulit rakhta hain. Sharir ko fir se hidrade karne ke liye nariyal pani ka ek glass zarur pina chahiye.
Dosto, garmi ki mausam toh aa hi gayi. Aur iss mausam main sharir main garmi ka hona swabhavik hain. Lekin uss garmi ko kam karne ke liye humara yeh janna bahut jada zaruri hain ki akhir kin kin tariko ko follow karke hum apne sharir ki garmi ko kam kar sakte hain.
Isiliye aaj ka yeh post hum aap logo ke liye lekar aaye hain. Ummid karte hain aap log iss post ko acchi tarah se read karenge. Toh aajke humare iss post ko hum yahi par khatam kar dete hain.