Ransomware Virus Ko Kaise Pehchane |
Internet aaj sabhi use karte hai. Iske apko kafi sare fayde hai par iske sath hi isse hone vale loss bhi kisi se chipe nhi hai. Sabhi apne computer system ko internet se toh connect karte hai chay vo kisi office ka system ho ya apka personal pc. Iske sath apke system me virus ke attack ke chances bhi badh jate hai. Aaj hum aise hi ek latest powerful Ransomware Virus Ko Kaise Pehchane means Wannacrypt attack janenge.
Ransomware Virus Ko Kaise Pehchane
Abhi 12 May 2017 me duniya me sabse bada cyber attack hua tha Wannacrypt attack. Jisne windows ko attack kiya hai. Jiska asar pure duniya me dekhne ko mila hai. Reaserch me pata chala hai is attack ki vagah Ransomware virus hai. Ye virus America ne apni security ko leke banaya tha. Par iska pahli bar kisi agency ne misuse kiya hai. Ye kafi danger virus hai or itna powerful hai jisne puri duniya ko apne attack se hila ke rakh diya.
Chaliye ab jante hai Ransomware virus hai kya or ye kaise apke system ko effect karta hai. Ransomware Virus Ko Kaise Pehchane aur isse aap apne system ko kaise safe rakh sakte ho. Iske liye pure article ko padhe or apne system ko sabhi virus attack se bachaye.
Ransomware Virus Ko Kaise Pehchane
Agar apko virus ke bare me jayda knowledge nahi hai toh apko iske liye jyada preshan hone ki jarurat nahi hai kyon ki is virus ko pahchanna bada hi aasan hai. Ye apke system par tabhi attack karega jab apka system kisi bhi network se connect hota hai. Agar jab aap apna system on karte ho iske bad agar aap apne system me kisi bhi file ko open nahi kar pa rahe ho.
Iske bad kisi bhi folder par click kare. Agar kahi bhi click karne par apke samne payment ka option aata hai to aap samaj jayie kisi hacker ne apke computer me virus dal diya. Apka computer virus se affected ho gaya hai. Isme jab aap payment karoge toh hacker apko ek key dega ishe apko enter karna hoga iske bad hi aap apne system ke file or folders ko access kar paoge. Par ye sahi solution nahi hai toh chaliye jante hai is virus se apne system ko protect kaise kare.
Ransomware Kaise Apke System Ko Affect Karta Hai
Ransomware attack agar apke system par ho gaya hai toh iske bad apka pura system ye loc kar deta hai. Apke samne ek lock aata hai jishe open karne ke liye apko ek key deni hogi iske bad hi aap apne system ko use kar paoge. Kyon ki ye attack jis hacker ne kiya hai vo bas apse paise ki demand karega. Kisi bhi normal user ke liye is lock ko tod pana impossible kam hai. Toh apko agar apne system ko isse bachana hai toh apke samne jo payment ka option aaega. Apko vaha payment karni hogi iske bad hi aap apne system ko fir se access kar paoge.
Abhi india bhi is virus se affect hua tha. Iske sah hi 70 countries ke system me ek sath attack hua hai jisse pure duniya ke system effect hue hai. Ye attack sirf paise ke liye hi nahi apke system se kisi bhi official nformation ko churane ke liye bhi is virus ka use kiya ja sakta hai. Kyon ki ye apke system ko lock karne ke sath sath apke system se kisi bhi file ko churane ke bhi kabil hai. Par aap isse back sakte hai bas iske apko thodi sa savdhan rahne ki jarurat hai. Toh chaliye jante hai isse kaise bache.
Ransomware virus Se Kaise Bache
Wannacrypt Ransomware se apne system ko safe rakhne ke kitne hi tarike hai. Iske liye niche diye gaye sabhi steps ko follow kare.
Updated Windows 10 Ka Use Kare
Ye bat dekhne me aayi hai jis bhi system me Windows 10 ka updated version installed tha koi bhi system is virus se affect nahi hua hai. Kisi me system me is virus se koi bhi loss dekhne me nahi aaya hai. Vo sab system proper work kar rahe the. Kyon ki windows 10 ek kafi highly secure system hai or iski security ko break kar pana itna aasan kam nahi hai. Abhi kuch time pahle hi ishe launch kiya gaya hai. Toh aap apne system ko is virus se safe rakhne ke liye is version ko apne system me install kar sakte hai.
Data Backup Bana kar Rakhe
Agar apke system me aisa kaam hota hai jo kafi confidential hai. Jo bahut hi important data ko apne andar store rakhta hai. Toh apke liye ye kaam or bhi jaruri hai. Kyon ki agar apke system me ke bar is virus ka attack ho gaya toh hacker bade aaram se apke data ko chura sakta hai. Apke apne system ko access karne se bhi rok sakta hai. Toh is problem se bachne ke liye apne system ka roj ka kaam ho jane ke bad iska backup le or kisi bhi external device me ishe store rakhe.
Ise tabhi apne system se connect kare jab apko ya toh apne system ka backup lena ho ya apko apne system me kisi bhi file ko store karna ho. Aisa karke aap apne system ko safe rakh sakte hai. Agar apke system par kisi bhi virus ka attack ho bhi jata hai to hap sare data ko delete karde. Iske sath hi apke system me aaya virus bhi delete ho jaega or iske bad apne liye hue backup se aap apne sare data ko fir se apne system me restore kar le.
Ache Antivirus Ka Use Kare
Apne system ko full security provide karne ke liye kisi bhi achi company ke antivirus ka use kare. Kyon ki koi bhi free ka antivirus apko is level tak ki security provide nahi karta ki apko Ransomware jaise virus se protect nahi karta. Toh isse bachne ke liye kisi bhi paid antivirus ka use kare. Is bat ka dhayan rake apni virus definition ko time to time update rakhe. Isse new aane vale kisi bhi virus ko bhi apka antivirus ushe identify kar leta hai or apke system ko protect rakhta hai.
Agar apke system me koi bhi paid antivirus installed hai toh vo apke system me aane vale sabhi virus se apke system ko protect karta hai. Iske sath hi apke system ko scan karke sabhi virus files ko remove bhi karta hai.
Spam Email Ko Open Na kare
Apke pas kafi sare emails aate rahte hai kisi bhi email jisme exe file ho ushe download na kare or sabhi emails ko scan kare isse apka system safe rahega.
Umeed he ki apko Ransomware Virus Ko Kaise Pehchane aur Wannacrypt Attack kya he samajh me aa hi gaya honga. Niche use remove karne ke tarike bhi bataye gaye he unhe thik se padhe aur follow karenge toh apka system hamesha secure rahega.