Puri Website Ko Kaise Download Kare | Jaruri Softwares

Share:



    Puri Website Ko Kaise Download Kare

    Aaj ka hamara topic he puri website ko kaise download kare. Aap sabhi aaj kisi bhi jankari ke liye internet ka use karte hai. Kyon ki yaha hume bade aaram se jo bhi jankari chayie badi aasani se mil jati hai. Sabhi websites aaj content likhti hai jisse ap jab bhi internet open karke kuch bhi search karte hai toh apke samne bahut sari websites ki list aati hai. Aap inme se apne matlab ka data nikal lete hai. Pahle hume kisi bhi jankari ke liye books ko uthana padta tha or ise search karne me apka kitna time lag jaye iska bhi pata nahi hota tha.

    Par ab internet ne apke kaam ko itna aasan bana diya hai. Aap bas kuch hi seconds me jo bhi data chay search kar sakte hai. Par problem tab aati hai jab ap kisi website ko padh rahe ho or apka internet chala jaye, apko chay kitna bhi jaruri ho bina internet ke ap in websites par kuch bhi nahi dekh sakte.

    Apne internet ka use karke songs videos toh bahut download kiye honge par kya apne kabhi websites ko bhi download kiya hai. Ab ye possible hai ap puri websites ko offline save kar sakte hai. Fir apko jab bhi websites ko dekhna ya inke kisi bhi content ko use karna chahenge toh apko iske liye internet ki jarurat nahi hogi. Ap inhe apne system me download kar sakte hai. Aaj market me aise software available hai jo apki website ko jise bhi ap offline save karna chahate hai inhe use karke bade aaram se kar sakte hai.

    Toh chaliye jante hai puri website ko kaise download kare and iske liye apko kya karne ki jarurat hai or ye software kaise kaam karte hai. Niche kuch software ke bare me bataya gaya hai inhe use karke ap puri website ko offline download kar sakte hai.


    puri website ko kaise download kare - jaruri softwares

    Httrack


    Is software ki help se ap kisi bhi website ko pura download kar sakte hai, bas iske liye apko is software ki jarurat padegi, niche diye gaye steps ko follow kare.



    1. Sabse pahle apko apne computer system se google ke search bar me type karna hoga”httrack”, apko yaha is software ko download karne ke link mil jaenge. Ab apko kisi bhi link ko open karke is software ko download karna hai. Ab ap ishe apne system me run kare.

    2. Ab apko apne browser se kisi bhi website ko kholna hai or apko apne address bar me jake us website ke “url” ko copy karna hai.

    3. Ab apko httrack software ko open karna hai, yaha apko” add url” ka option najar aaega, is par click ksre apke samne ek wizard open ho jaega.

    4. Yaha apko upar ek search bar najar aaega. Yaha apko apna copy kiya hua url paste karna hai uske liye ap right click karke ya “ctrl+v” se paste kar sakte hai. Ab ap “add url” par click kare.

    5. Click karte hi apke samne download ka option open hoke aa jaega. Ab bas apko yaha apne website ko save karne ke liye pahle apko memory location show hogi us par click kare or jaha bhi apne drive me apko jis bhi folder me ishe save karna hai ushe select kare or ok button par click kare.

    6. Ab apki file download honi shuru ho jaegi. Agar apko koi or setting bhi isme karni hai to hap add url ke niche apko option ka ek block najar aaega ap vaha se ishe kar sakte hai.

    7. Agar apko lagta hai apki website download hone me kuch jada hi time laga rahi hai to hai ishe beech me cancel bhi kar sakte hai. Iske liye apko cancel button ko press karna hoga apki downloading cancel ho jaegi. Ab ap ishe ek bar download ho jane de.

    8. Ab bas apko jaha apne ishe save kiya hai us memory location ko open karna hoga or vaha apko ek index file najar aaegi. Apko bas ishe open karna hoga ap ab bade aaram se jab bhi chay is website ke data ko read kar sakte hai ab apko internet ki jarurat nahi pade. Ye offline mode me download ho chuki hai.

    Getleft


    Ye software apko thoda modern look dega, iske liye bas apko is software ko apne system me download karna hai or ishe run kare, ab apko niche diye gaye steps ko follow karna hai apka kaam ho jaega.



    1. Sabse pahle ap jis bhi website ko download karna hai uske url ko copy karle.

    2. Ab apne software ko open kare or uske search bar me jake ishe paste karde.

    3. Ab ap jaise hi add url par click karoge apke samne ek wizard open hoga, yaha apko directory ko set karna hoga matlab jaha bhi ap ishe save karna chahate hai us memory location ko select kare.

    4. Ab bas apko start button par click karna hai apki website download ho jaegi, ek bar download ho jane ke bad apko ab internet ki jarurat nahi hai, ap bas us memory location par jaye jaha apne ishe save kiya hai or index file ko open kare. Ab apki website offline ho chuki hai ap ishe use kar sakte hai.

    Pagenest


    Is software me apko httrack or getleft dono softwares ka combination san ajar aaega, isme ap agar website ke kuch contents ya portion ko chodna chahate hai toh iske liye jab ap download ya start button ko press karenge toh yaha ap in options ko dekh sakte hai agar ap chahate hai isme image download na ho toh image option ke samne se right ko hata de. Iske liye in steps ko follow kare.



    1. Sabse pahle software ko install kare.

    2. Ab job hi website apko download karni hai uske link ko copy kare.

    3. Software me jake paste kare or start par click kare, agar apko kuch content ko chodna hai toh use deselect kare. Apki website download ho jaegi. Ab index file ko run kare. Ye offline mode me kaam karegi.

    Cyotek webcopy


    Is software ko use karke bhi ap bade aaram se apni kisi bhi website ko download kar sakte hai, iske liye pahle ishe download kare, ye bhi baki sabhi upar bataye gaye software ke jaise hi kaam karega. Agar apko dekhna hai apki website kitni download hui hai toh iske liye ap download wizard ko open kare yaha apko apni downloading speed or kitna apka data download ho chukka hai ye dono pata lag jaege. Download hone ke baa dap bina kisi internet connection ke in websites ko chala paege.

    Ab toh aap samajh gaye he ki Puri Website Ko Kaise Download Kare. Upar bataye gaye tricks ap badi aasani se use kar sakte hai. Ye softwares apko internet par mil jaege bas apko inhe install karna hai. Fir ap jab chay apne system se in websites ko browse kar sakte hai or apko iske liye internet connection ki jarurat nahi padegi. Students aaj padne ke liye internet ka sahara lete hai. Agar ap ek bar in website ko save kar lenge toh bar bar intenet ki jarurat nahi padegi.


    how to