Phone Contacts Ka Backup Kaise Kare | Tarike aur Steps

Share:



    Phone Contacts Ka Backup Kaise Kare
    Phone Contacts Ka Backup Kaise Kare

    Aaj sabhi ke pas smartphone hota hai. Kyon ki ek toh ishe hum bade aaram se use kar sakte hai or dusra isme apko kafi features bhi mil jate hai. Apne sabhi contacts aaj aap phone me store karte hai. Kyon ki apko isme memory kafi jada milti hai jisse aap jitne chahe sabhi apne related ke Contacts apne phone me store kar lete hai. Par problem tab aati agar kabhi galti se aap apne contacts ko delete kar dete hai ya apka phone chori jo jata hai toh apke sare contacts bhi chale jate hai. Aaj ka hamara topic isi se ralated he ki phone contacts ka backup kaise kare. Uske kaun kaun se tarike aur steps he.


    Phone Contacts Ka Backup Kaise Kare


    Ab apke pas koi option nahi bachta aap kaise apne contacts ko vapas laye. Kyon ki agar apne apne contacts ka backup banaya hota toh apka agar phone ghum jaye ya kisi bhi problem se apke contacts agar delete ho jaye toh aap inhe vapas paa sakte hai. Phone contacts ka Backup lena koi bada kaam nahi hai. Google apko apne contacts ko backup karne ka option deta hai. Isse alag bhi apko kitni hi third party apps mil jayegi jinhe use karke aap apne contacts ka backup le sakte hai.

    Isse agar kabhi bhi apke phone se koi contact delete bhi ho gaya toh apko bas apna account add karna hoga apke contacts khud apke phone me vapas aa jaenge ya aap inhe manually bhi vapas la sakte hai. Toh chayie jante hai kaise aap Google ya third party apps ki help se apne contacts ko apne Phone me backup kar sakte hai.

    Google Account Me Phone Contacts Ka Backup Kaise Kare


    Google Account me aap apne contacts badi aasani se backup kar sakte hai. Isse apke contact safe rahege or kabhi bhi agar aap apna mobile change kroge toh apko iske liye bas apne new phone me apne google account ko add karna hoga. Apke sare contacts khud apke phone me aa jayenge. Isse apke contacts online save bas apko apne account se jab inhe chay backup kar sakte hai. Ab apko pata hona chayie aap kasie apne contacts apne Google Account me save kare iske liye niche diye gaye steps ko follow kare.

    1. Sabse pahle apko apne android mobile se Gmail ki website par apna ek account create karna hoga. Agar apka pahle se hi Gmail par account bana hua hai toh apko isme sign in karna hoga.

    2. Sign in karne ke liye aap apne mobile phone ke Menu me jaye. Yaha apko settings ka option najar aaega ishe click karke open kare.

    3. Yaha apko ek Account ka option najar aaega. Apko is par click karna hai apke samne ek or option aaega add account.

    4. Yaha apko ek valid Gmail account add krna hai iske liye aap isme username or password enter kare. Apka account add ho jayega. Ab yahi apko "Auto Sync" ka option enable karna hai. Iske bad apko apne acount ko open karke isme contact ka Backup allow karna hai.

    5. Ab apko apne contacts ko open karna hoga. Yaha apko setting me jana hai. Setting ko open karke apko yaha ek option milega “Contact Import/Export”. Apko inme se Export option ko select karna hai. Ab apko yaha apka memory card. Phone storage or apka gmail account show hoga. Apko apne account ko select karna hai or is par click karna hai.

    6. Itna karte hi apke contacts backup hona shuru ho jaega. Apne “auto sync” pahle hi enable kar diya hai ab agar aap kabhi bhi koi new contact apne mobile me save karoge vo khud hi backup ho jaega.

    Google Account me apne contacts ko aap tabhi upload kar paoge jab apke pas internet available hoga. Par aisa jaruri nahi hota jab apko apne contacts ki jarurat pade apke pas internet Connection ho toh iske liye aap apne contacts ka offline backup bhi le sakte hai. Aaj market me aishe bahut se software available hai jinse aap apne contacts ka backup apne phone se le sakte hai. Jisse agar kabhi bhi apko apne contacts ko backup karna pade aap bina internet ke bhi inhe apne phone me vapas la sake. Toh chaliye jante hai aap kaise apne phone contacts ka backup ko offline back karke safe kare.

    Apne Phone Contacts Ka Backup Offline Kaise Le


    Is trick se aap apne contacts ko apne kisi memory Device ya apne phone me hi backup kar sakte hai iske liye apko pata hona chayie apko iske liye konse software ki jarurat padegi. Iske liye aap niche diye gaye steps ko follow kare.



    1. Sabse pahle apko apne mobile se Playstore par jana hoga. Yaha apko Super Backup app ko search karna hoga. Apke samne kafi sare apps aa jaege backup ke. Inme se Super Backup ek achi app hai toh apke videos. Photos. Or contact or app sabhi kuch backup kar deti hai. Ab yaha link par click karke apke samne is app ko install karne ka option aa jaega. Apko ab is app ko download karna hai.

    2. Ab is app ko open kare apke samne kitne sare option najar aaege sabko allow karde. Fir apke samne apps backup ya or kayi options honge inme se contact backup ke option ko choose kare.

    3. Ab apke samne apke contacts ko backup karne ka option hoga. Yaha apko ishe ok karna hai. Fir yaha apko ek memory location deni hogi jaha aap apne contacts ko sambhal ke rakhana chahate hai. Jab aap is file ko save krenge iska format “. Vcf” hi rhega or naam apko jo bhi pasand hai aap vo de skte hai.

    4. Ye sari process puri karte hi apke sare contacts backup ho jaege. Ab apko agar apna backup dekhna hai toh aap apni di hui memory location par jake dek sakte hai.

    Ab apko jab bhi apne contacts ko backup karne ki jarurat pade. Apko bas is vcf file par click karna hoga apke sare contacts apke phone me import hone shuru ho jaege. Agar galti se apko contact delete bhi ho jaege toh apko koi tension lene ki jarurat nahi hogi apke sare contacts apke backup ke sath safe rhege. aap is backup ko kahi b move kar sakte hai jisse agar apka mobile bhi kho jaye toh aap kisi bhi mobile me is file ko import kar sakte hai.

    Upar batayi gayi dono tricks phone contacts ka backup karne ke liye best tricks hai or in dono ko aap aasani se use bhi kar sakte hai. Inhe use karke aap apne contacts ko humesha safe rakh sakte hai. Jisse agar apko kabi bhi phone contacts ka backup lene ki jarurat pade aap ishe use kar sakte hai

    how to