Mobile Reset Kaise Kare |
Mobile phone aaj sabhi ki jarurat ho gayi hai. Kyon ki aaj sabhi kaam ishi se kiye jane lage hai jaise online payments, shopping ya chatting itne sare kaam apke phone ko ek sath karne padhte hai. Par kuch time ke baad apne dekha hoga apka phone slow hone lagta hai or ise on ya off karne me apko kafi time lag jata hai. Aaj hum janenge Mobile Reset Kaise Kare and Mobile Format Karne Ka Tarika in Hindi.
Mobile Reset Kaise Kare
Agar apko koi kaam apne phone se karna hai toh ye app ko na hi khol pata hai or kabhi toh beech me hi ruk jata hai iske liye ya toh fir apko apne mobile ko off karna padhta hai ya apko iski battery ko remove karna padhta hai par ye kaam aap bar bar nahi kar sakte hai. Iske liye reason hota hai apke phone me aaya virus jo kisi bhi tarike se apke mobile me aa sakta hai ya apke mobile me kuch aisi files store ho jati hai jo apke mobile ki internal memory ko full kar deti hai. Jiski vagah se apke mobile me chalne vali apps ko space nahi mil pata or apka phone hang karne lagta hai. Jisse apko ishe use karne me kafi preshani hone lagti hai.
Agar aap kisi app ko use karke is space ko free karne ki kosis bhi karte hai toh ye kaam nahi ho pata. Par iske liye agar apne mobile ko reset kar de toh apke mobile me aane vali ye sabhi problem dur ho jaegi. Par iske liye apko pata hona chayie ki agar aap apne mobile ko reset karoge toh apke isse kya nuksaan hoge ya ishe reset karne se pahle apko apne mobile me kya karna hoga. Iske liye mobile ko reset karne se judi hui kuch bate discuss ki gayi hai. Jisse aap apne mobile ko safe rakhne ke sath khud ko nuksaan se bhi bacha sakte hai. Mobile reset aap 2 tariko se kar sakte hai. Isme pahla hai reset mobile or dusra hai mobile reset in recovery mode.
Mobile Reset Kaise Kare - Tarika 1
Apko mobile ko reset karne se pahle apko kuch bato ka dhayan rakhna hoga varna apko badi pareshani ka samna kar pad sakta hai. Toh chaliye jante hai iske liye aap kya kare.
- Sabse pahle apko apne mobile me se sabhi jo apke liye jaruri hai data ko back up karna hoga. Iske liye apko apne mobile ke personal me jake backup and reset option par jana hoga.
- Yaha apko apne mobile me ek password or user id enter karni hogi isse apko jab aap apne mobile ko reset karoge toh apka jo bhi data delete hoga isse jab aap apne mobile me is account me dobara add karoge toh apke contact, message or mails sabhi apke pas vapas aa jaenge.
- Mobile reset karne se apka sara data delete ho jata hai isly apko apni internal memory se sare data ko apne memory card me move karle or is memory card ko apko apne mobile se bahar nikal lena hai. Is baat ka or dhayan rakhe apne mobile se simcard bhi nikal le or ab aap apne mobile ko reset kar sakte hai.
Mobile Reset Kaise Kare - Tarika 2
- Agar apke pas android 5. 1 se pahle ka android version hai toh apko normal reset option hi milega. Iske liye sabse pahle apko apne mobile se menu option ko press karna hoga.
- Yaha apko kafi sari apps najar aaegi inme se apko setrings par press karna hoga
Yaha ab apko niche scrool karna hoga. Apke samne backup and reset ka option najar aaega. Apko is par click karke ishe open karna hoga.
- Ab yaha apko erase everything ka option najar aaega apko is par click karna hoga. Yad rahe apko agar koi bhi jaruri file jo internal memory me save hai use backup jarur karle varna fir aap ushe recover nahi kar paenge.
- Ab aap jaise hi erase everything par click karege apka yaha agar apne apne mobile me pattern lock lagaya hai toh apka yaha apna pattern enter karna hoga or fir ek bar enter karke ishe confirm bhi karna hoga or ya agar apne password dala hai toh usse ishe confirm kare.
- Itna karte hi apka phone reset hona shuru ho jaega or factory version par chla jaega isse apke phone ki sabhi jo apps apne install ki thi sab chli jaegi or apka phone bilkul naye jaisa ho jaega.
Reset in recovery mode
Agar apke mobile me android 5. 1 ya usse higher koi bhi version installed hai toh aap is option ko use kar sakte hai. Isse agar apka phone factory reset bhi ho jata hai toh apse alag koi or ishe use nahi kar paega. Ishe users ki security ko dhyan me rakhte hue banaya gaya toh chaliye jante hai kaise aap is option ko use kar sakte hai.
- Sabse pahle aap agar apne mobile ko reset karoge toh apko isme login username or password ka pata hona chayie varna ek bar reset ho jane ke bad aap ishe use nahi kar paenge.
- Ab apko apne mobile ko sabse pahle off karna hoga iske liye apko power button press karna hoga apka mobile off ho jaega.
- Ab apko power + volume + home key ko ek sath press karna hoga isse apka phone recovery mode par chala jaega. Yaha apko ab yaha se recovery mode ko select karna haga. Apka phone screen touch toh hoga hi iske liye apko apne mobile ki volume keys or power key ka hi use karna hoga.
- Agar apko niche move karna hai toh iske liye aap apne mobile se volume down key ka use kare or niche scroll kare or ya apko upar move karna hai toh iske liye aap volume up key ka use kare. Apko jis bhi option par select karna hai aap iske liye power key ka use kare. Apko yaha recovery mode ko select karna hai toh iske liye apko power button se is option ko select karna hoga.
- Apke select karte hi apka mobile factory version par chala jaega. Ab apka phone restart hoga or apko yaha ab apne device me same vahi account login karna hoga jo reset karne se pahle tha kyon ki isse apki security badh jati hai. Is process ko pura karne ke baad apke samne welcoe screen aa jaegi or aap apne mobile ko use kar sakte ho.
Kyon ki aisa is liye bhi jaruri hai kitni hi bar apka mobile chori ya kho jata hai toh koi bhi use reset karke use kar leta tha par ab aisa possible nahi hai.
Ab toh clearly samajh gaye honge ki Mobile Reset Kaise Kare aur Mobile Format Karne Ka Tarika. Toh bas in tips ko follow kare aur apna mobile reset kijiye.