Language Translate Kaise Kare |
Aaj hum janenge language translate kaise kare. Google aaj sabhi use karte hai. Kyon ki kisi bhi kaam ko agar aap google se karoge toh apka kaam bade aaram se ho jata hai. Agar aap india me kam karte hai or apko bahar kisi or country ke client se bat karni pad jaye toh shayad apke liye ye bahut preshani vali baat ho sakti hai. Par agar apko google translator ke bare me pata hai toh apke liye is kaam ko karna koi badi baat nahi rah jayegi. Kyon ki aap google translator ki help se kisi bhi language ko apni language me translate kar sakte or phir apni language ko kisi bhi language me change karke send bhi kar sakte hai.
Language Translate Kaise Kare
Apne kabhi kisi foreign country ke kisi bhi client se baat ki hogi agar apko vo language aati hai toh apka kaam aasan hai par jaruri nahi hai har koi is kaam ko kar sake. Par iske liye apko ab kisi bhi foreign language ko sikhne ki jarurat nahi hai aap apne phone se laptop se kisi bhi language ko apni language me orapni language ko kisi bhi language me convert kar sakte hai. Bas iske liye apko apne system ya mobile me google translator app ko install karna hoga ya aap is kaam ko online bhi kar sakte hai.
Toh chaliye jante hai kaise aap google translator ko use karke kisi bhi language ko convert kar sakte hai. Apni kisi bhi language me kyon ki apko kisi bhi kaam me agar kisi aur language ki jarurat padhti hai toh apka kaam is tool se badi aasani se ho jaega. Toh chaliye pahle jante hai language translate kaise kare and Google Translate Tips.
Google translator app
Ye app aap tabhi use kar paege agar apke pas ek android mobile hai. Kyon ki google apni apps android mobile ke liye banata hai jisse users ka kaam badi aasani se ho jaye. Toh chaliye jante hai kaise aap is app se apni language translate kar sakte hai. Iske liye apko niche kuch steps diye gaye apko inhe dhayan se follow karna hai.
- Sabse pahle apko apne android mobile se menu press karna hoga ab apke samne kafi sari apps open hoke aa jaegi. Ab yaha se apko play store app par jana hoga. Ab apko click karke is app ko open karna hoga. Apki playstore par id login honi chayie varna aap koi app isse download nahi kar paoge or na hi playstore use kar paoge.
- Play store open ho jane ke baad apko iske search bar par jana hoga. Yaha apko apne keyboard se google translator app type karna hoga or search option ko press karna hoga.
- Ab apke samne kafi sari apps ke link open hoke aa jaege. Apko isme se kisi bhi link ko open karna hoga. Apke samne is aap ko install karne ka option aa jaega. Ab apko is app ko apne mobile me install karna hoga.
- Fir apko apne phone se is app ko open karna hai. Ab apke samne ek block najar aaega apko isme apni language jaise aap indian hot oh aap english me type kare. Aap apko jis bhi language me translate karna hai apko us language ko select karna hoga. Jaise apko hindi to english translation karni hai toh apko iske liye apni translation language ko hindi set karna padega.
- Iske liye apko upar kuch language ke options najar aaege apko inme se kisi bhi language ko select karna hoga. Ye language apki vo language hogi jo apko aati hai. Ab apko ek translation symbol najar aaega apko isme samne kuch or language ke options najar aaege apko inme se kisi bhi language ko select karna hai ab aap jaise hi apne system se kuch bhi type karege apka text jo apne language select ki hai us language me apke likhte hue select hota chala jaega.
- Aap yaha ek bar 5000 words type kar sakte hai. Ab apko job hi is block me write kar rahe ho apko ishe copy karke jaha apko send karna hai aap kar sakte hai. Ya aap kisi fornier se chat ya email me bat karte hai to hap uske likhe hue content ko yaha google input block me paste kare isse ye content apki language me translate ho jaega or aap kisi bhi language ko bade aaram se samajh sakte hai.
Ap apne mobile me hi nahi apne laptop ya system me bhi is tool ko use kar sakte ho or apni language ko kisi bhi language me ya kisi bhi language ko apni language me translate kar sakte hot oh chaliye jante hai kaise aap is kaam ko kar sakte hai.
Laptop ya computer me language translate kaise kare
Iske liye apko apne system me kisi bhi software ko install karne ki jarurut nahi hai. Iske liye apko bas niche diye steps ko follow karna hoga or aap apne mobile ke sath sath apne pc me bhi language ko translate kar sakte ho. Toh chaliye jante hai kaise aap ishe use kare.
- Iske liye sabse pahle apko apne system se apne google browser ko open karna hoga. Ab apko is search bar me jana hoga. Apko yaha ab click karna hai “google translator” apko yaha type karna hoga. Ab aap apne keyboard se enter ya search par press karna hoga. Apke samne google translator ke kafi sare links open hoke aa jaenge.
- Ab apko apne system se inme se kisi bhi link par click karna hoga apke samne online google translator open hoke aa jaega.
- Fir apko isme se kisi bhi language ko select karna hoga jisme apko type karna aata ho aap is box me type kare. Ab apke samne ek second box or hoga apko isme se apni language ko select karna hoga apko kisi language me apne content ko convert karn hai. Isse jaise hi aap apne input box me kuch bhi type karna shuru karoge apke output box me apka text translate hoke aata rahega.
- Ab apko is text ko copy karna hai or jaha bhi apko ishe paste karna hai aap bade aasani se apne mouse ko right click karke kahi bhi paste kar sakte hai.
Hume umeed he ki aap ab puri tarah samajh gaye honge ki language translate kaise kare. Upar batayi gayi dono techniques ko use karke aap apne mobile ke sath apne computer ya laptop me bhi kisi bhi language ko bade aaram se translate kar sakte ho. Aaj kal agar apko bahar koi bhi kaam karna hai toh apko outside country ki language ko bhi samajhna padega kyon ki isse aap growth karoge or apka kaam bhi bade ache se ho jaega. Iske liye aap bas upar diye gaye steps ko follow karna hoga.