C Drive Ko Free Kaise Kare - Unnecessary Files Delete Kaise Kare

Share:




    Computer aaj sabhi use karte hai. Par apne dekha hoga kuch time baad apka PC ya computer slow hone lagta hai. Jiski vagah hai apke computer me Unnecssary files ka store ho jana. Aaj ka hamara topic he C Drive Ko Free Kaise Kare and Unnecessary Files Delete Kaise Kare?


    C Drive Ko Free Kaise Kare


    Aaj hum internet toh use karte hi hai. Toh jab hum apne computer system se kuch surf karte hai ya download karte hai toh kuch temporary file humare system me store honi shuru ho jati hai. Jiski vagah se apke computer ki jo main drive hoti hai C drive sara data usme store hota rahta hai toh kuch time ke baad vo full hone lagti hai. Jisse apka system kafi slow bhi ho jata hai. Iska reason ye hota hai jab aap kafi long time se apne system ko use karte hai toh itni sari junk files apke system me aa jati hai. Jisse apki memory spece kam ho jata hai or time ke sath ye space or kam hota chala jata hai. Jiski vagah se apke system ki performance kafi down hoti hui chali jati hai.

    Par aap apne system ki thodi care karke apne system me aane vali in sabhi problems ko dur kar sakte hai. Iske liye kafi sari tricks aaj available jisse aap apne system me store hone vali sabhi unnecessary file ko hata sakte hai or apne system ki memory ko new data ke liye free rakh sakte hai. Isse ek toh apke system ki performance boost ho jaegi or apke system me space bhi kam nahi padega.

    Toh chaliye jante hai c drive ko free kaise kare. Aap konsi unnecessary file ko delete kare jisse apka system fast perform kare. Iske liye niche 3 tricks di gayi hai jinhe use karke aap apne system ki C drive ko free kar sakte hai.


    C drive ko free kaise kare

    Clean Your Computer Drives


    Apke computer me sari unnecessary files apki C Drive me hi store hoti hai. Iske liye aap apne system se hi inhe hata sakte hai iske liye niche diye steps ko follow kare.


    1. Sabse pahle apko apne system me desktop par “my computer” ka option najar aaega apka yaha ishe open karna hoga. Apke samne ab apke system ki sari dives aa jaegi. Yaha ab apko C drive ko select karna hoga. Apko ab yaha apne mouse se right click karna hai. Apke samne ek menu open ho jaega. Is menu me niche apko “Properties” ka option show hoga apko is par click karna hai.

    2. Ab apke samne ek new menu aaega isme apko “Disk Cleanup” ka option najar aaega. Apko is par click karna hoga. Yaha ab apko apni drive ko select karna hoga. Isme apko apne system ki sari drive ki list show hogi. Isme se apko “C drive ko select karna hoga”.

    3. Ab apke system me scanning shuru ho jaegi. Apko kuch der wait karna hoga. Apke samne apke system ki sari jo bhi unnecessary files store hai apke samne show ho jaegi. Ab apko inhe select karna hoga. Isme apko ‘temporary files’, 'system error files' or bhi apke system ki sari dump files apko yaha show hogi. Isme se apko jis bhi file ko select karna hai apko uske samne tick karna padega. Sari files identify karne ke baad apko niche apki select ki gayi sabhi files ki total memory show hogi ab aap agar chay toh apni select kari hui files ka description bhi dekh sakte hai.

    4. Ab apko niche Ok button par click karna hoga. Ab apke system ki sari files ko delete karne ke liye apse confirmation lega iske liye apko ab permanently delete files par click karna hoga apke system se ye sari files delete ho jaegi. Or apki memory se job hi space junk files ne liya tha vo free ho jaega. Ab apka system fast perform karne lagega.

    Delete Temporary Internet Files


    Ap jab bhi apne computer se internet par kuch bhi browse karte hai toh uski kuch files apke system me store hoti rahti hai jiski vagah se apke system me memory full hoti rahti hai. Ye files website se download hue pages ya history ya cookies hote hai jo apke system me store ho jate hai jiski vagah se apko system slow bhi hone lagta hai par aap inhe apne system se delete kar sakte hai iske liye niche diye gaye steps ko follow kare.



    1. Sabse pahle apko apne system se Start button ko press karna hoga. Yaha apko kuch options najar aaege. Isme se apko “Internet Explorer” ko select karna hoga. Iske liye apko yaha mouse se right click karna hoga. Apke samne kuch or options open hoke aa jaenge.

    2. Aap iske liye ek or tarika use kar sakte hai iske liye apko apne system se Control Panel ko open karna hoga apke samne kuch new options open hoke aaenge. Yaha apko “Network & Internet” ka option najar aaega apko ishe click karna hoga. Yaha se aap apne system se cache files. Videos links. Or temporary internet files ko delete kar sakte hai.

    3. Ab apko yaha ek General Tab ka option najar aaega. Apko ishe open karna hai. Yaha ab apko apne system ki history me se jitney options ki list apke samne aaege apko unhe tick karna hai. Ab apko niche delete option show hoga. Ab apko delete option par click karna hai or ok press kare a[ke system ki sari files delete ho jaegi or apke system ki performance badh jaegi.

    Duplicate Files Ko Delete Kare


    Apke system kafi sari aisi files hoti hai jo multiple copy hui rahti hai jo apke system me bahut sara space hold karke rakhti hai. Aap inhe kuch software ka use karke find kar sakte hai or inhe delete kar sakte hai toh chaliye jante hai iske liye kya kare.


    1. Sabse pahle apko apne system se internet par kuch duplicate finding application ko search karna hoga. Iske liye apko google karna hoga apke samne kafi sari apps aa jaegi. Inme kuch popular applicatios hai jaise Duplicate File Finder, visipics, dupeguru apko inme se koi bhi software ko install karna hai.

    2. Ab apko is software ko install karna hai. Or isme jake apne jis bhi file ya folder ko scan karna hai apko ushe select karna hoga or scan option ko select karna hoga. Ye software apke folder se sari duplicate files ko show kar dega.

    3. Ab apko sabhi files ko delete karna hoga. Aise hi aap apne sabhi files or folders ko scan karke apne system ki sari unwanted files ka pata laga sakte hai or unhe find karke aap apne system se remove kar sakte hai. Isse apke system ka job hi space hold tha vo free ho jaega or apka system kafi acha perform karne lagega.

    Ab toh aapko yeh samajh hi aa gaye he ki c drive ko free kaise kare and unnecessary files delete kaise kare.

    how to