Bone Fracture Ka Ilaj Kaise Kare - Tarike aur Tips In Hindi

Share:



    Bone Fracture Ka Ilaj Kaise Kare
    Bone Fracture Ka Ilaj Kaise Kare

    Bone Fracture Ka Ilaj Kaise Kare


    Aaj ke iss post main hum aap logo ko yeh batane wale hain ki Bone fracture ka ilaj kaise kare. Lekin usse pahle chaliye yeh jan lete hain ki bone fracture hone ka reason kya hain.


    Bone fracture hone ka karan


    1. Jadatar haddiko ke tutne ka karan hota hain humara gir jana. Jab hum gir jate hain tab humare body ka pura weight ek hi haddi par padta hain. Tab uss haddi ke tutne ki sambhavna badh jati hain.

    1. Agar koi bhari cheez bones ke upar gir jaye tab bhi haddi ke tut jane ki sambhavna hoti hain. Khaskar jin logo ki umar bahut chuki hain, unn logo ki haddiyo par agar kuchh bhi gire toh bahut zaldi aur asani se unka bone fracture hone ka darr rahta hain. Agar budhape ki umar main koi insan khud bhi gir jaye toh sambhav hain ki uska bone fracture ho jaye. Kyun ki jaise jaise humari umar badhti hain wese wese humari haddiya kamjor ho jati hain. Ayese main thoda sa jhatka ya chott kafi hain haddi ke tutne ke liye.

    1. Kuchh bimaria bhi ayesi hoti hain jinke hone se humari haddiya andar se bahut kamjor aur khokli ho jati hain. Ayesi kamjor haddiya bina kisi vajah ke bhi tut jati hain.

    1. Bacche ke janam ke samay agar koi daayi ya nurse jada khichatani kare toh bhi navjat bacche ki haddi tut sakti hain.

    Bone fracture ka ilaj - tips


    1. Sabse pahle toh jab aapka kisi wajah se haddi tut jaye toh aapko uss haddi ko sahara dena hain. Kyun ki agar aap uss fracture wale jagah ko sahara nahi denge toh waha ki haddi hilegi. Haddi ke hilne se pain badhega aur haddi ke tukde aur jada dur ho jayenge.

    1. Haddi ko sahara dene ke liye aap log kisi sakhth cheez ka istemaal kare. Aap log iss kaam ke liye kisi lakdi ya pipe ka istemaal kar sakte hain. Lekin by chance agar aapko sahara dene ke liye kuchh nahi mila toh aap log apne sharir ke kisi aur ang se apne fracture wale ang ko sahara de sakte hain.

    1. Agar kandhe ki haddi tut gayi ho toh aap patti ya kapde ka istemaal kar sakte hain. Apne kandhe ko sahara de sakte ho. Haath ki haddi tutne ya khisakne par aap log apne haath ko apni chhati ke sath bandhkar rakh sakte ho. Agar aapki jangh, ghutna ya usse niche wale pair ke hisse ki haddi tut jaye toh aap log kisi lakdi ke patte ya fir kisi pillow ka istemaal kar sakte hain.

    Bone fracture ka ilaj ki Savdhania


    Haddi ko sahara dete waqt iss baat ka khas taur par dhyan rakhe ki haddiyo ko jada kas kar bilkul bhi na bandhe. Kyun ki ayesa karne se blood circulation ruk jata hain. Agar ayesa ho gaya toh patient ki condition aur bhi critical ho sakti hain. Agar body ke upar ke hisso main jakham hua hain toh iska samay par illaj kar lena behad zaruri hain. Aap log zald se zald bahri chott ka bhi illaj karwa le taki ghav zaldi bhar jaye.

    Kai baar ayesa hota hain ki jab haddi tutti hain toh haddi ke kuchh tukde bahar gir jate hain toh aap unn tukdo ko feke nahi. Aap inn tukdo ko acche se dhokar kisi saaf kapde main lapet le. Patient ke sath unn tute hue tukdo ko bhi hospital le jaye. Aaj kal science itni aage badh chuki hain ki unn tute hue tukdo ko wapis ussi jagah par lagaya ja sakta hain.

    Ayurved tarike se Bone fracture ka ilaj


    Jab aaj hum aap logo bone fracture ke bare main jankari de hi rahe hain toh lage haath aap logo ko hum yeh bhi bata dete hain ki ayurved tarike se hum kaise tuti hui haddiyo ko jod sakte ho. Dosto, "hadjod" ek paudhe ka name hain. Toh ab aap log yeh sonch rahe honge ki yeh kaisa paudha hain?

    Dosto, yeh ek ayesa paudha hain jo tuti hui haddiyo ko jodne ke liye aur humare body ko bimario se bachane ke liye kafi asardar hain. Hadjod ki butti ko hum haddiyo ko jodne ke liye istemaal kar sakte hain. Toh chaliye ab hum yeh jan lete hain ki hadjod ki butti ko haddiyo ko jodne ke liye kaise istemaal kiya jata hain.

    Sabse pahle aap log hadjod ki butti ko acchi tarah se sukha le. Jab woh butti acchi tarah se sukh jaye toh uss main urad ki daal mila le. Ab inn dono ki ek sath pis le. Paste bana le.Iss paste ko tuti hui haddi par lagaye. Kisi saaf kapde se bandh le. 2--3 din ke baad iss paste ko fir se uss jagah par lagaye. Fir kisi saaf kapde se bandh le.

    Iss tarah se aap log kam se kam 1 mahine tak uss paste ko tuti hui haddiyo par lagaye. Itna karne se agar bhagwan ne chaha toh aapki tuti hui haddi jud jayegi. Tuti hui haddi ko jodne ke alawa iss butti ka istemaal karne se aapka dard bhi kam ho jayega.

    Iske alawa bhi aap log iss hadjod ke ras ko ghee ke sath milakar bhi uska sewan kar sakte hain. Ayesa karne se bhi aapki tuti hui haddi ko judne main kafi madat milegi.

    Tuti hui haddi ko kaise pahchane


    Dosto! Kabhi kabhi ayesa hota hota hain ki humari haddi tut jati hain lekin iss bare main hume pata hi nahi chalta hain. Iss tarah se agar hume pata na chale toh hum kafi pareshaani main fans sakte hain. Isiliye aaj hum aap logo ko yeh batane ja rahe hain ki tuti hui haddi ko hum kaise pahchan sakte hain. Toh chaliye jante hain ki haddi koi chott ko kaise pahchana ja sakta hain.

    Haddi tutne ke baad injury hone wali jagah ke aas paas blood jama hone lagta hain jiske karan uss jagah par sujan aa jati hain.

    Agar haath ya pair ki haddi jagah se hat gayi ho ya khisak gayi ho toh uss jagah par tedhapan aa jata hain.

    Kai baar toh jab haddi tutti hain tok sharir ka woh hissa latak jata hain.

    Kabhi kabhi fracture wala jagah blue pad jata hain. Kyun ki uss main sensation ki kami ho jati hain.

    Agar haddi main sirf darar padi ho toh woh jagah sirf dard karta hain. Iske alawa aur kuchh nahi hota hain. Lekin fir bhi safety ke liye x-ray karwa lena thik rahta hain.

    Toh ab bas aap log inn tips ko follow kariye aur humesha swasth rahiye. Umeed he aap log samajh gaye honge ki Bone fracture ka ilaj kaise kare.
    how to